Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara

Nadeem Sarwar

1992Urdu
1992UrduImam AliMuharram
Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara is an Urdu devotional noha recited by Nadeem Sarwar on the 1992 Volume 12 album. Its verses remember devotion to imam ali. Read the Roman-script lyrics, original script, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1992
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Lyrics

Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara

Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ali Maula Hamara Ali Aaqa Hamara

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara

Haideriyam, Qalandaram, mastam
Banda-e-Murtaza Ali hastam
Sar-giroh-e-tamaam-e-rindaanam
Par sag-e-koo-e-Sher-e-Yazdaanam

Koi Rabia Basri to koi Laal Qalandar ×2
Koi Rabia Basri to koi Laal Qalandar ×2
Koi Boo Ali Shah hai to koi hum sa Hussaini
Hai sab ka yeh naara

Seenon ki taraf haath jo matam ko uthe hain ×2
Rishta kisi mazloom se yeh jor rahe hain ×2
Yeh munkir-e-matam ki kamar tor rahe hain ×2
Yeh matami daste nahin, Haider ka hai lashkar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Tareekh ke auraaq ke munh mein jo zubaan doon ×2
Jo naara-e-Haider ki fazeelat hai bata doon ×2
Woh maarka-e-Khaibar ka tumhein yaad dila doon ×2
Mushkil mein jo ek baar pukaare the Payambar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Naare to bahut aur bhi logon ne lagaaye ×2
Naara koi aisa na tha Khaibar jo hilaaye ×2
Bas naara-e-Haider ne woh ausaaf hain paaye ×2
Dooba hua sooraj bhi nikalta hai ubhar kar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Aao dar-e-Haider ki taraf soorat-e-Qambar ×2
Is dar ki jabeen-saaee banaati hai qalandar ×2
Salman yaheen bante hain, yaheen Meesam-o-Buzar ×2
Yeh dar to badal deta hai Hurr ka bhi muqaddar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Hoti hai yahaan aa ke yeh haq baat mukammal ×2
Sach baat kahega woh hama-waqt musalsal ×2
Sach baat ko maanenge sabhi aaj nahin kal ×2
Bas naam-e-Ali wird karo misl-e-qalandar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Girte hue logon ko yeh maidaan mein utha dein ×2
Quran ki zabaan bolna patthar ko sikha dein ×2
Toofaan ka rukh mor dein, aandhi ko bhaga dein ×2
Yeh jaam-e-shahadat piyein qaatil ko jaga kar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Dar Kaabe ki deewaar mein qudrat ne kiya ho ×2
But Kaabe mein rakhe hue jo tor raha ho ×2
Allah ka ghar jis ka zacha-khana bana ho ×2
Sab mil kar lagaate raho ab Kaabe ka chakkar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Man kunto kahe jis ko Nabi, shakhs woh kya hai ×2
Aaqa wohi Maula hai, wohi haq ki sada hai ×2
Maula woh hamaara hai, Nuseri ka Khuda hai ×2
Ausaaf kisi mein nahin Haider ke baraabar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Haider ke ghulaamon ko guzarna ho jidhar se ×2
Toofaan bhi rukh mor ke chalte hain udhar se ×2
Dekhe koi Haider ko Payambar ki nazar se ×2
Paida na hua Sher-e-Khuda ka koi hamsar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Hijrat ki woh shab ghaat lagaaye hue dushman ×2
Mehboob-e-Khuda kaise bacha sakte hain daaman ×2
Par soorat-e-Haider mein diya ek hai roshan ×2
Lo so gaye woh ban ke Muhammad sar-e-bistar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Islam pe sar maango to hum sar tumhein denge ×2
Ek sar ki zaroorat ho, bahattar tumhein denge ×2
Farzand-e-Ali ki tarah hum ghar tumhein denge ×2
Hum sab hain ghulaam us ke jo hai saaqi-e-Kausar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Jo tegh tale sajda-e-Maabood mein sar ho ×2
Maut aayegi sajde mein jise yeh bhi khabar ho ×2
Masroof-e-buka us ke liye kyun na bashar ho ×2
Woh jis ne na chalne diya Islam pe khanjar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Woh baazu-e-Abbas jo kaate gaye ran mein ×2
Woh teer jo paiwast hain Sarwar ke badan mein ×2
Doori hui pardes mein jab bhai behan mein ×2
Marqad mein buka karte the woh khaak ura kar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Woh asr ka hangaam woh Shabbir ka sajda ×2
Woh pyaas woh garmi woh chamakta hua darya ×2
Uth uth ke woh girta hua ek khaime ka parda ×2
Aati thi dar-e-khaima se aawaaz baraabar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Rehan meri aankh se behte hue aansoo ×2
Hain raah-e-sadaaqat mein chamakte hue jugnoo ×2
Matam ki sada nohe ki aawaaz har ek soo ×2
Haider ke ghulaamon ne hi phailaayi hai Sarwar
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara, Ali Maula hamaara

Koi Rabia Basri to koi Laal Qalandar ×2
Koi Rabia Basri to koi Laal Qalandar ×2
Koi Boo Ali Shah hai to koi hum sa Hussaini
Hai sab ka yeh naara
Ali Maula hamaara, Ali Aaqa hamaara ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1992
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Prophet Muhammad, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Themes
Devotion to Imam Ali, Khaybar and Karbala
Original language
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.