Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Allah Min Raasil Hussain

Nadeem Sarwar

2014Urdu and Arabic
2014Urdu and Arabic
Allah Allah Min Raasil Hussain is Nadeem Sarwar's 2014 noha centered on the severed head of Imam Hussain and its journey after Ashura. Combining Arabic salutations with Urdu narrative poetry, it mourns the captivity of the Ahlulbayt and the suffering witnessed from Karbala to Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu and Arabic
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Lyrics

Allah Allah Min Raasil Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Allah Min Raasil Hussain

Allah Allah Min Raasil Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Allah Allah Min Raasil Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Salam bar Muharram
Salam bar Karbala
Salam bar Ashura
Salam bar Hussain

Hussain, Hussain ×6

Assalamu alal Hussain
Wa ala Ali ibn-il-Hussain
Wa ala Awlad-il-Hussain
Wa ala Ashab-il-Hussain

Assalamu alash-shayb-il-khazeeb
Assalamu alal khaddit-tareeb
Assalamu alal badan-is-saleeb
Assalamu alat-thaghr-il-maqru bil-qazeeb
Assalamu alar-ra's-il-marfu

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×6

Aye naiza-sawaron ki
Qayadat ke Shahenshah
Zulfein teri Wal-Layl hain
Wash-Shams hai chehra
Aankhon se ayaan
Noor-e-Muhammad ka ujala
Lab tere hain masroof-e-tilawat
Ibn-e-Zahra

Sajde mein jhuka sar
To ibadat ka sharaf tha
Naize pe utha sar
To ye sar Durr-e-Najaf tha

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Thi pusht-e-Muhammad
To isi sar ka musalla
Aur chadar-e-tatheer hai
Is sar ka amama
Man Kuntu ka khutba hai
Isi sar ka khulasa
Is sar ke sabab
Karb-o-Bala ab hai Mualla

Ye sar na jhuka
Khanjar-o-talwar ke aage
Sar zulm ka kham hai
Tere inkar ke aage

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Rooh-e-Hussain
Jabeen-e-Hussain
Abroo-e-Hussain
Chashm-e-Hussain
Rukhsar-e-Hussain
Dahan-e-Hussain
Lab-e-Hussain
Dandan-e-Hussain
Zulf-e-Hussain
Khushboo-e-Hussain
Zehn-e-Hussain
Fikr-e-Hussain
Guftar-e-Hussain

Haan, in aankhon ko
Ahmad-e-Mukhtar ne chooma
Zahra-o-Ali ne
Lab-o-rukhsar ko chooma
Zulfon ko Hasan ne
Bade pyar se chooma
Behno ne gala iska
Kai baar hai chooma

Sardari-e-Abbas
Isi sar se judi hai
Aur Zainab-o-Kulsoom ko
Ye misl-e-Ali hai

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Maujood tha is sar mein
Muhammad ka khazana
Maqsad tha isi sar ka
To Islam bachana
Zalim ne bohat chaha tha
Is sar ko jhukana
Ye sar na jhuka
Kat gaya Zahra ka gharana

Is sar ka safar sun ke
Jahan rota hai ab tak
Ghaibat mein jo hai
Marsiya-khwan rota hai ab tak

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Ashur ko ye sar
Pas-e-gardan se kata tha
Zarbein thin lagi
Tera bohat khushk gala tha
Zainab ke liye
Waqt qayamat se kada tha
Zulfon ko pakad kar
Jo ye sar Shimr chala tha

Afsos sar-e-nok-e-sina
Jab ye sar aaya
Jalta hua ghar
Shaam-e-Ghareeban ka tha saya

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Is sar ke masaib ka
Ye pur-dard hai qissa
Khuli ke ghar mein
Jo tandoor mein rakha
Raat aayi to phir
Zauja-e-Khuli ne ye dekha
Tandoor se ek noor ka
Darya hai ubalta

Ek Bibi siyah-posh ne
Is sar ko uthaya
Ro ro ke kaha:
Haye Ghareeb-e-Dil-e-Zahra

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Rahib ne ye sar dekha tha
Jab nok-e-sina par
Khuli se kaha:
Kaun hai, ye kiska hai ye sar?
Bola woh bad-atwar:
Ye hai Ibn-e-Haider
Rahib ne woh sar le liya
De kar use zar

Sar god mein rakhe hue
Rota raha Rahib
Awaz-e-fughan Zahra ki
Sunta raha Rahib

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Ye sar kabhi sanduq mein
Tandoor mein rakha
Is sar ko darakhton pe
Laeenon ne sajaya
Naize pe ise shehr ki
Galiyon mein phiraya
Hamrah aseeron ke
Ye sar Shaam jab aaya

Sajjad ko, Zainab ko
Rulate the sitamgar
Sar Bali Sakina ko
Dikhate the sitamgar

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Darbar-e-Yazidi mein
Bapa jashn-e-tarab tha
The ek taraf Ahl-e-Haram
Girya-o-buka
Aur samne tha takht pe
Marjana ka beta
Us takht tale
Sar tha Hussain-e-be-khata ka

Badbakht laeen
Nashe mein lalkar raha tha
Dandan-e-Shah-e-Deen pe
Chhari maar raha tha

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Jis waqt ye sar
Shaam ke zindan mein aaya
Sar bhai ka Zainab ne
Kaleje se lagaya
Sajjad ne behosh
Sakina ko jagaya
Sar Baba ka pehlu mein
Sakina ne jo paya

Aye Sarwar-o-Rehan
Qayamat ka sama tha
Shabbir ka sar rota tha
Aur shor-e-fughan tha

Allah Allah min Ra's-il-Hussain ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu and Arabic
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.