Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Bohat Bara Hai

Nadeem Sarwar

1996Urdu
1996UrduImam AliMuharram
Allah Bohat Bara Hai is the title track of Nadeem Sarwar's 1996 album Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16, with poetry by Rehan Azmi. Beginning with praise of Allah's greatness through His creation, the verses recall the Prophet's Mi'raj, the faith and sacrifice of Imam Hussain at Karbala, and the patience of Imam Zainul Abidin. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1996
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16

Lyrics

Allah Bohat Bara Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Bohat Bara Hai

Allah Bohat Bara Hai

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Allah Bohat Bara Hai

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Quran mein likha hai Allah bohat bara hai
Sab ne yehi kaha hai Allah bohat bara hai
Har had se mawara hai Allah bohat bara hai
Sab ne yehi kaha hai Allah bohat bara hai

Yeh mehr-o-mah-o-anjum, daryaaon mein talaatum
Chalti hui hawaayein, aawaaz ka tarannum
Khush-rang taairon ka phaila hua tabassum
Tarteeb-waar ghunche, aise ke rashk-e-anjum
Yeh Kun ka mojiza hai Allah bohat bara hai

Mitti ke paikaron mein tehreek daalta hai
Soo-e-falak zameen pe taare uchhaalta hai
Paataal se jawaahir woh hi nikaalta hai
Parwardigaar woh hai duniya ko paalta hai
Har had se mawara hai Allah bohat bara hai

Kaunain mein ayaan hai Ya Rab jo noor tera
Hai taab kis nazar mein dekhe zuhoor tera
Tasbeeh-khwaan hum kya, hai Koh-e-Toor tera
Jis ko bhi mil gaya hai Maula shaoor tera
Woh Mustafa hua hai Allah bohat bara hai

Tu ba-kamaal jaisa, waise tere Payambar
Sab tere madh-khwaan hain, sab hi tere sanaa-gar
Kya baadshah-o-qudsi, kya muflis-o-gada-gar
In saari hastiyon mein woh Aamina ka dilbar
Woh bhi to lab-kusha hai Allah bohat bara hai

Qausain ki thi manzil, hairaan anbiya the
Jibreel ruk gaye the ek marhale pe aa ke
Raaste banaaye tune parde hata hata ke
Meraaj par Muhammad pahunche teri raza se
Ek shor goonjta hai Allah bohat bara hai

Jaise hi guftagu ki Allah ne Nabi se
Bole Nabi, yeh lehja marboot hai Ali se
Hairaan hue Muhammad is lehja-e-khafi se
Kya guftagu hai meri Allah ke Wali se
Yeh raaz-e-ghaib ka hai Allah bohat bara hai

Allah ki baraai yun to sabhi ne ki hai
Lekin jo Karbala ki tareekh bolti hai
Nok-e-sinaan se Rab ki tauseef ho chuki hai
Takbeer zer-e-khanjar Shabbir ne kahi hai
Mazloom ki sada hai Allah bohat bara hai

Kis ne kiya hai sajda khanjar tale jahaan mein
Kaante pare hue the jab pyaas se zabaan mein
Jab aag lag rahi thi Zehra ke gulistaan mein
Chup chup ke chaand taare rote the aasmaan mein
Maula ne tab kaha hai Allah bohat bara hai

Kya nafs-e-mutmainna Sajjad ne tha paaya
Ek ek sitam pe jis ne sajde mein sar jhukaaya
Tauq-e-garaan pehan kar shikwa na lab pe laaya
Kunbe ko apne le kar taa Shaam tha jo aaya
Har gaam par kaha hai Allah bohat bara hai

Seene pe barchhi kha ke Akbar ne yeh sada di
Yeh aakhri hai manzil khushnoodi-e-Khuda ki
Khaak-e-shifa bana di Karb-o-Bala ki mitti
Bole Rehan-o-Sarwar, tareekh-e-Karbala bhi
Maula ne sach kaha hai Allah bohat bara hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1996
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.