Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Jaane Kahan

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Allah Jaane Kahan is Nadeem Sarwar's 2005 lament in the voice of Bibi Sakina from the prison of Shaam, calling for her father Imam Hussain and recounting the hardships of captivity.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Allah Jaane Kahan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Jaane Kahan

Allah Jaane Kahan

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Allah Jaane Kahan

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab Shaam ke zindan mein hui shaam Haram ko
Ek aan na rahat ki, na aaram Haram ko
Har baar tapakta tha lahu ashk-e-rawan se
Zindan larazta tha Sakina ki fughan se

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2
Baba, kitni raatein guzar gayin Baba
Allah jaane, kahan ho aye Baba

Chhote se sin mein qaidi-e-zindan ho gayi ×3
Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Dil mein jo mere dard hain Khaliq ke hain ayan
Kis ko kahun main, baap mera, baap hai kahan
Tum be-kafan, main be-sar-o-saman ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Kya kya na khalq kalme haqarat ke keh gayi
Main bekasi se dekh ke munh sab ka reh gayi
Kurta phata hua meri pehchan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Gar aah ki to Shimr pukara: khamosh ho
Aur chup hui to be-padari ne kaha ke ro
In aafaton mein ghir ke pareshan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Be-jurm kaan zakhmi hue aur tamache khaye
Jo chahe mujh falak ki satayi ko phir sataye
Shehzadi-e-Hussain ki ye shan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Sadqe gayi, batao kahan hain mere padar
Aaye padar to jaye Sakina bhi apne ghar
Kyun aise zalimon ki main mehman ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Poti hoon uski jo ke hai Kaunain ka Amir
Jisne hazaron qaid se chhudwaye diye aseer
Ummat Nabi ki dekh ke anjaan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Jab sar pe Shah-e-Deen ke Sakina ne ki nazar
Chillayi ro ke: haye ghazab, mar gaye padar
Baba ke sar ko dekh ke hairan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Munh rakh ke munh pe Shah ke royi jo dil-figar
Sadma hua, nikalne lagi tan se jaan-e-zar
Nanhi si jaan jaan se be-jaan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Bas aye Anees, bazm mein hai girya-o-buka
Sadiyon talak rulayega sab ko ye marsiya
Bali Sakina karb ka unwan ho gayi

Baba main kyun na aap pe ×2
Qurban ho gayi

Allah jaane, kahan ho aye Baba ×2

Baba, kitni raatein guzar gayin Baba
Allah jaane, kahan ho aye Baba

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.