Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bin Tere Na Ghar Jaungi Bhaiya

Nadeem Sarwar

1990Urdu
1990UrduImam HussainArbaeen
Bin Tere Na Ghar Jaungi Bhaiya is a 1990 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar. It portrays Bibi Zainab (s.a.) expressing her grief at Imam Hussain's grave as the surviving caravan prepares to return to Madina, remembering Ali Akbar, Ali Asghar, Qasim, Abbas and the suffering of the family. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1990
Occasion
Arbaeen
Original
Urdu

Lyrics

Bin Tere Na Ghar Jaungi Bhaiya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bin Tere Na Ghar Jaungi Bhaiya

Bin Tere Na Ghar Jaungi Bhaiya

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Bin Tere Na Ghar Jaungi Bhaiya

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abid ne kaha aa ke qareeb bint-e-Ali se
Ab soo-e-watan chaliye Phuphi jaan, main sadqe
Sun kar yeh khabar zakhm-e-jigar phat gaye saare
Marqad se lipat kar kiye Zainab ne yeh naale
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Atharah baras ka Ali Akbar bhi yaheen hai
Chhe maah ka nanha Ali Asghar bhi yaheen hai
Hai khaak-basar Farwa ka dilbar
Paamaal badan Qasim-e-muztar
Kis dil se main ghar jaaungi bhaiya
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Kya din thay ke aabaad tha Zehra ka gulistaan
Yeh kiski nazar kha gayi, sab ho gaya veeraan
Baaqi nahin ab koi nigehbaan
Sab bhai mere ho gaye be-jaan
Mar jaaungi, mar jaaungi bhaiya
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Abbas se aur tumse hai Zainab ko nidaamat
Zindaan mein chhod aayi hoon dono ki amaanat
Kya toot gayi mujhpe qayamat
Kis darja hai Zainab ko khijaalat
Woh lab pe nahin laaungi bhaiya
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Sota hai mera dhoop mein nanha Ali Asghar
Kehti hai yeh Bano ke hai waali bhi yaheen par
Zindaan mein ek mar gayi dukhtar
Baithegi na ab saaye mein maadar
Kya keh ke main samjhaungi bhaiya
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Tayyaar nahin soo-e-watan jaane ko Laila
Woh kehti hai main chhod doon kis tarah se tanha
Atharah baras ka mera beta
Reh jaayega is ban mein akela
Kaise use samjhaungi bhaiya
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Aamad ki khabar sun ke Anees aayenge saare
Yeh neel numayaan hain jo baazu pe rasan ke
Gar poochh liya mujhse kisi ne
Batlaungi unko main yeh kaise
Bas sharm se mar jaaungi bhaiya
Main jab bhi watan jaaungi bhaiya
Bin tere na ghar jaaungi bhaiya

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1990
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Arbaeen
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.