Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Din Dhal Gaya Shaam Aa Gayi Abbas Na Laute

Nadeem Sarwar

1986Urdu
1986UrduImam HussainMuharram
Din Dhal Gaya Shaam Aa Gayi Abbas Na Laute is a 1986 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar. Beginning with the sorrowful cry that Hazrat Abbas (a.s.) has not returned, it describes Shaam-e-Ghareeban, the burning tents, the suffering of the Ahlulbayt and the captivity of Bibi Zainab (s.a.) and the children. Read Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1986
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Din Dhal Gaya Shaam Aa Gayi Abbas Na Laute Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Din Dhal Gaya Shaam Aa Gayi Abbas Na Laute

Din Dhal Gaya Shaam Aa Gayi Abbas Na Laute

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Din Dhal Gaya Shaam Aa Gayi Abbas Na Laute

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute
Shaam aur ghazab dha gayi, Abbas Abbas na laute

Baaqi nahin ansaar, na hai moonis-o-yaawar
Maqtool-e-jafa ran mein hue Sarwar-e-Aalam
Karte hain haram shiddat-e-aalaam se maatam
Sab khurd-o-kalaan aah-o-buka karte hain paiham
Yeh kiski nazar kha gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Woh kaun se hain zulm jo be-deenon ne chhode
Atfaal-e-Hussaini pe sitam haaye yeh tode
Ghash mein pade beemar ko maare gaye kode
Taaraaj kiya khaimon ko, dauda diye ghode
Saadaat pe aanch aa gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Ghar loot liya, chheeni rida, khaime jalaaye
Zar loot ke Sayyedaaniyon ko durre lagaaye
Hai kaun jo aada ki jafaaon se bachaaye
Zainab kise imdaad ko ab apni bulaaye
Ghurbat ki faza chhaa gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Dar aaye khayaam-e-pisar-e-Sheh mein sitamgar
Zakhmi kiya durron se tan-e-Abid-e-muztar
Kheencha sitam-afgaaron ne beemar ka bistar
Dekha gaya aflaak-o-zameen se na yeh manzar
Karb-o-Bala tharra gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Jab Zainab-e-Kubra ne khabar gham ki yeh paayi
Maqtal mein kahin kho gayi Shabbir ki jaayi
Us waqt sukhan lab pe yeh bint-e-Ali laayi
Aye dasht-e-jafa, kaisi jafa aur yeh dhaayi
Maa ghamzada ghabra gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Aaghosh tumhari hai na hai baap ka seena
Zid karti hai, jaan khoti hai ro ro ke Hazeena
Aisa to kabhi dekha na tha bhai qareena
Kyun aayi na darya pe tumhein yaad Sakina
Kya cheez wahaan bha gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Raat aa gayi daaman mein liye apne qayamat
Aaraam se sab so gaye sarshaar-e-shahadat
Phir zulm-o-sitam dhaane lage ahl-e-shaqaawat
Be-warisoon ke sar khule karne ko hifaazat
Balwe mein behan aa gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Kis tarah likhoon aur karoon kaise yeh ada main
Kya kya na jafaa hui zindaan-e-jafa mein
Rehte thay haram yun to shab-o-roz buka mein
Ek roz Sakina ko Anees hijr-e-chacha mein
Zindaan mein neend aa gayi, Abbas Abbas na laute
Din dhal gaya, shaam aa gayi, Abbas Abbas na laute

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1986
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.