Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Kya Jigar Tha Janab-e-Hussain Ka

Nadeem Sarwar

1989Urdu
1989UrduImam HussainMuharram
Allah Kya Jigar Tha Janab-e-Hussain Ka is a 1989 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar. It remembers Imam Hussain's extraordinary patience during the tragedy of Karbala, including the martyrdom of Hazrat Abbas, Ali Akbar and Ali Asghar, the loss of his companions and his farewell to Bibi Sakina. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Allah Kya Jigar Tha Janab-e-Hussain Ka Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Kya Jigar Tha Janab-e-Hussain Ka

Allah Kya Jigar Tha Janab-e-Hussain Ka

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Allah Kya Jigar Tha Janab-e-Hussain Ka

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ek dopahar mein apna bhara ghar luta diya
Allah kya jigar tha Janab-e-Hussain ka ×2

Zakhmi badan, firaaq-e-pisar, tashnagi, alam
Tanhaai, fauj-e-Shaam ka nargha, kiye sitam
Ansaar-o-aqraba ke bichhadne ka dil mein gham
Khaime se aa rahi thi sadaayein buka baham

Jab aaye izn lene ko Abbas-e-bawafa
Hasrat se unko dekh ke Shabbir ne kaha
Jaao sidhaaro bhai, nigehbaan hai Khuda
Hum jaante hain door nahin aap se qaza

Jis waqt istighaasa-e-Abbas ko suna
Jaate the ran mein thokarein khaate Shah-e-Huda
Naagaah ek simt pe baazu pada mila
Dil thaam kar Hussain ne usko utha liya

Bhai ke baad ran mein gaya naujawaan pisar
Barchhi ne tukde kar diya uska dil-o-jigar
Pahunche qareeb laash ke aur baithe khaak par
Barchhi jigar se kheenchi to haatif ne di khabar

Ayyub dekho sabr-e-Shehenshah-e-Karbala
Tanha jawaan laal ka laasha utha liya
Haathon pe le ke khaime ki jaanib jari chala
Dekha na hoga aisa kisi dil ka hausla

Sab fauj qatl ho gayi, ab koi bhi nahin
Nargha kiye hain Shaam ke aada, udoo-e-deen
Barsa rahe hain teeron ko har simt se la'een
Haathon pe apne laate hain Bano ka mehjabeen

Maidaan mein sheer-khwaar ko laaye jo hi Hussain
Khoya sipaah-e-Shaam ne apna sukoon-o-chain
Beta gale se lipta hua kar raha tha bain
Kis sabr se juda kiya woh Shah-e-Mashriqain

Dafna ke sheer-khwaar ke laashe ko Shah-e-Deen
Aaye khayaam-e-Zainab-o-Kulsoom ke qareeb
Lipti Sakina qadmon se, dil sog tha hazeen
Baba na aap jaaiye, kehti thi mehjabeen

Lipta ke apni beti ko Sarwar ne yeh kaha
Sab ho gaye anees-o-a'izza mere juda
Hum jaayein qatlgaah mein, yeh marzi-e-Khuda
Ran ko sidhaare kehte hue Shah alvida

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.