Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Chin Gayi Sar Se Rida

Nadeem Sarwar

1987Urdu
1987UrduImam HussainMuharram
Chin Gayi Sar Se Rida is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, provisionally dated to 1987 and attributed to the poet Anees. It mourns the loss of Bibi Zainab's veil after Ashura, the burning of Imam Hussain's tents, the suffering of Bibi Sakina, and the helplessness of the surviving Ahlulbayt. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1987
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Chin Gayi Sar Se Rida Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Chin Gayi Sar Se Rida

Chin Gayi Sar Se Rida

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Chin Gayi Sar Se Rida

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aal-e-Muhammad pe aafat ki ghari hai
Bhaiya teri behna sar nange khari hai
Naala-o-shevan se ek hashr bapa hai
Koi na waaris raha, khaima har ek jal gaya
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Uthne lage khaimon se aag ke shole
Kaise teri behna bachchon ko sambhaale
Ghash mein mera Aabid sholon mein ghira hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Haaye Ali Akbar tum kyun nahin aaye
Zaalimon ne aa ke sab khaime jalaaye
Kaun kare nusrat, koi na raha hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Chheen liye kaanon se Shimr ne gauhar
Kis se kare shikwa, Baba na biraadar
Khoon Sakina ke kaanon se baha hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Aag ne daaman ko jab uske jalaaya
Baali Sakina ne ro ro ke sunaaya
Dasht-e-bayaabaan hai aur Karbobala hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Maut ke sehra mein gham-khurda hiraasaan
Dhoondti hai bachchi har simt pareshaan
Lab pe faqat Baba Baba ki sada hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Maqtal mein goonji aawaaz-e-bunayya
Yun na karo naale, aelaiyya
Door hai darya bhi aur khooni faza hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Tere chacha ko hai is waqt aziyyat
Jaao na darya pe gar hai koi ulfat
Mujhse kaho beta jo unse gila hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Teri phuphi beta sehra-e-bala mein
Dhoondti hai tumko woh gird-o-nawa mein
Teri judaai se masroof-e-buka hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Sun ke Anees-e-gham yeh Noha Iram mein
Hoor-o-malak naale karne lage gham mein
Majlis-e-Sarwar mein kohraam bapa hai
Chhin gayi sar se rida, karti thi Zainab buka

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1987
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.