Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Amma Baar Baar

Nadeem Sarwar

1998Urdu
1998UrduImam HussainMuharram
Amma Baar Baar is a 1998 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi. From Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18, it portrays Bibi Sakina's suffering in the prison of Shaam, her wounded ears, her longing for Imam Hussain and her grief at being separated from her family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1998
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Lyrics

Amma Baar Baar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Amma Baar Baar

Amma Baar Baar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Amma Baar Baar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zindaan-e-Shaam mein jahaan bibi ka hai mazaar
Raaton ko dheemi dheemi si aati hai ek pukaar
Kaanon se mere khoon ×2
Abhi bhi tapakta hai, Amma baar baar ×3

Amma baar baar, gala mera dukhta hai Amma baar baar
Uthti hai jab bhi aap ×2
Mera saans rukta hai, Amma baar baar
Haan, Amma baar baar

Soyi nahin hoon Shaam-e-Ghareebaan ke baad main
Ab kya jiyoongi Shaam ke zindaan ke baad main
Be-aas ab hoon Shah-e-Shaheedaan ke baad main
Saaya ajal ka Amma mere saath chalta hai
Amma baar baar

Kaanon ka khoon aankhon ke aansoo se mil gaya
Har zakhm phool ban ke badan par hai khil gaya
Baba ko dhoond laaoon ke seene se dil gaya
Be-jaan mere jism mein kyun dil dharakta hai
Amma baar baar

Aye Amma jab se Baba se main door ho gayi
Yeh zindagi mere liye naasoor ho gayi
Par kya karoon naseeb se majboor ho gayi
Hijr-e-pidar se seene mein ek dard uthta hai
Amma baar baar

Kaante pare hain halq mein aye Amma pyaas se
Darti hoon jhonka guzre hawa ka jo paas se
Neend ur gayi hai aankhon se khauf-o-hiraas se
Rone pe mere Shimr-e-la'een kyun jhirakta hai
Amma baar baar

Asghar ke baad paani piyoon main, nahin nahin
Ammu ke baad zinda rahoon main, nahin nahin
Faryaad kuch shaqi se karoon main, nahin nahin
Paani mein ab to chehra-e-Asghar jhalakta hai
Amma baar baar

Lagta hai qaid-e-jaan se rihaai qareeb hai
Aye Amma jaan-o-tan se rihaai qareeb hai
Ab maut mujhko qabr ke laayi qareeb hai
Daaman to jal chuka hai, mera dil sulagta hai
Amma baar baar

Kaunain mein yeh kaisa hai qanoon, poochhiye
Marne ke baad mujhko rihaai nahin mile
Yeh kaisi qaid hai ke lahad bhi yaheen bane
Qaidi kabhi to qaid se ghar ko palat-ta hai
Amma baar baar

Amma rihaai paa ke watan tum to jaaogi
Sughra meri behan ko gale se lagaogi
Poochhegi jab mujhe to use kya bataogi
Reh reh ke ek sawaal mere dil mein uthta hai
Amma baar baar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1998
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Captivity of Ahlulbayt, Martyrdom of Bibi Sakina
Original language
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.