Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Asghar Ka Janaza

Nadeem Sarwar

1994Urdu
1994UrduImam HussainMuharram
Asghar Ka Janaza is a 1994 Urdu noha recited by Nadeem Sarwar, written by Rehan Azmi and included in Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14. The lament portrays Imam Hussain (AS) carrying the bloodstained body of his infant son Ali Asghar (AS), the sorrow of Bibi Rubab (SA), and the grief remembered by Bibi Sakina (SA) during captivity.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Lyrics

Asghar Ka Janaza Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Asghar Ka Janaza

Asghar Ka Janaza

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Asghar Ka Janaza

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Asghar ka janaza, Asghar ka janaza

Ae momino, jab khoon mein dooba hua aaya
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2
Shabbir ne ek maa se use kaise chhupaya
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Haathon pe janaza Ali Asghar ka uthakar
Rukh soo-e-falak karke sada dete the Sarwar
Allah, yehi hadya-e-aakhir hai hamara
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Chehre pe mere khoon hai mere ghuncha-dahan ka
Murjhaya hai yeh phool Muhammad ke chaman ka ×2
Ae Nana, tere deen pe karta hoon main sadqa
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Sangdil the laeen, bachche pe kuch reham na khaya
Paani ke talab karne pe khoon uska bahaya ×2
Islam ko ab hashr talak kar gaya zinda
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Jab raat ko maa apne tasavvur ko jagati
Aawaaz use jhoole ki nauha yeh sunati ×2
Kya bhool gayi haathon pe Sarwar ke jo dekha?
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Maa kehti thi, ae god ke paale Ali Asghar
Thi aarzu dekhungi main sehra tere sar par ×2
Kyun waqt ne mujh kokh-jali ko hai dikhaya?
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Yaad aa gaya zindaan mein jo bhaiya ka humakna
Sajjad se tab kehne lagi baali Sakina ×2
Kya khaak-e-tapan, dhoop se logon ne uthaya?
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Rehan, Shah-e-Deen ne har ek laash uthayi
Akbar sa jawan unmein tha, Abbas sa bhai
Bete se Yadullah ke magar uth nahin paya
Asghar ka janaza, Asghar ka janaza ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.