Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aun O Muhammad Mere

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Aun O Muhammad Mere is Nadeem Sarwar's 2005 noha portraying Bibi Zainab preparing her sons Aun and Muhammad for sacrifice in Karbala and praising their courage, loyalty and devotion to Imam Hussain.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Aun O Muhammad Mere Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aun O Muhammad Mere

Aun O Muhammad Mere

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aun O Muhammad Mere

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Kehti thi Zainab:
Aye mere sheron
Kehti thi Zainab:
Mere dileron

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×4

Khwab ye Zainab ka tha:
Chand sitare mere ×2
Mamu pe honge fida
God ke pale mere ×2

Khwab ye sachcha hua
Sar mera uncha raha
Hone ko Sheh par fida
Laal mere, sher mere, chand mere

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Jafar-e-Tayyar ke khoon ke akkas ho ×2
Husn mein Akbar ho tum
Josh mein Abbas ho ×2

Jang ke maidan mein
Maut ke arman mein
Saya-e-Quran mein
Aise utho, aise badho
Maut pe tum toot pado

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Haan meri takeed par
Dhyan tumhara rahe ×2
Ja ke lab-e-nehr bhi
Pyas gawara rahe ×2

Doodh na bakhshungi main
Munh bhi na dekhungi main
Sher ki beti hoon main
Wada karo, aao chalo
Chup na raho

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Mana ke pyase ho tum
Pyas pe qabu rahe ×2
Sheh ke Alamdar ki
Saans mein khushbu rahe ×2

Bas ye tamanna meri
Laaj rahe khoon ki
Hai ye wasiyyat meri
Khao qasam, jah-o-hasham
Hoga na kam

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Aun ye kehne laga:
Bhai Muhammad, suno ×2
Ek taraf main badhun
Ek taraf tum badho ×2

Jang ho Fauj-e-Sitam
Jang karein aise hum
Mamu hamein dein alam
Dekhein hamein
Amma kahe: jeete raho

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Dono jari jang ko
Surat-e-aandhi badhe ×2
Nana Ali ki tarah
Maut pe haavi rahe ×2

Mil ke jo hamla kiya
Maymana-o-maysara
Ek mein dam ho gaya
Tegh-e-Ali aise chali
Dhoom machi

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Dekh rahi thi jo Maa
Khaime ke dar par khadi ×2
Sath wahin the khade
Hazrat-e-Abbas bhi ×2

Bhai behen sath the
Sahib-e-aulad the
Waris-e-ajdad the
Kehne lage:
Khoob lade sher mere

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Ladte kahan tak bhala
Pyas ke mare hue ×2
Jalti hui khak par
Dono tadapne lage ×2

Bhai se kehne lagi
Fakhr se Bint-e-Ali:
Surkh-ru Zainab hui
Sar pe tere, Bhai mere
Laal hue

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Aun-o-Muhammad na the
Woh durr-e-nayab the ×2
Sarwar-o-Rehan
Woh waqif-e-adab the ×2

Hukm jo Maa ne diya
Rukh na kiya nehr ka
Pyas ka sadma saha
Maa ne kaha:
Shukr-e-Khuda
Hue fida

Aun-o-Muhammad mere
Aun-o-Muhammad ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.