Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Aye Momino Hussain Se Maqtal Qareeb Hai

Mirza Dabeer

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Aye Momino Hussain Se Maqtal Qareeb Hai is a traditional Urdu marsiya attributed to Mirza Dabeer, describing Imam Hussain's (AS) arrival in Karbala with his family. The elegy portrays the hardships of the journey, the recognition of Karbala as the place of martyrdom, and the sorrow of Bibi Zainab (SA) over the fate of Ali Akbar (AS). Read the expanded collection of verses in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Aye Momino Hussain Se Maqtal Qareeb Hai Lyrics

WA

Ae Momino Hussain Se Maqtal Qareeb Hai
Shehr-e-Madina Door Hai Jangal Qareeb Hai
Aakhir Hai Umr Manzil-e-Awwal Qareeb Hai
Zahra Ka Chaand Chhupta Hai Baadal Qareeb Hai
Lene Ke Waste Malakul Maut Aate Hain
Shabbir Apne Paon Se Maqtal Ko Jaate Hain

Do Do Qadam Pe Hote Hain Atfaal Be-Hawaas
Ek Paani Paani Kehta Aur Ek Pyaas Pyaas
Yun Qafila Hai Gird-e-Alamdar-e-Haq-Shinaas
Jis Tarah Pyaase Hashr Mein Kausar Ke Aas Paas
Abbas Shaan-e-Abr-e-Karam Ki Dekhte Hain
Ek Dam Mein Saari Fauj Ko Paani Pilaate Hain

Farmaate Hain Hussain Ghazab Ki Tapish Hai Haaye
Kya Ho Jo Aisi Dhoop Mein Paani Na Koi Paaye
Kehte Hain Khairkhwah Na Woh Din Khuda Dikhaaye
Maula Jawaab Dete Hain Allah Hi Bachaaye
Paani To Manzilon Mein Abhi Peete Jaaoge
Aata Hai Ek Maqaam Ke Qatra Na Paaoge

Itne Mein Subh-e-Manzil-e-Aakhir Ayaan Hui
Lekin Woh Subh Sibt-e-Nabi Ko Kahan Hui
Jis Jaa Sawaari Ruk Ke Na Aage Rawaan Hui
Hairaan Sipaah-e-Khusraw-e-Kaun-o-Makaan Hui
Chhe Raahwaar Badle Shah-e-Khaas-o-Aam Ne
Lekin Qadam Uthaaya Na Ek Khush-Khiraam Ne

Jumbish Jo Markabon Mein Na Paayi Hussain Ne
Ek Musht Khaak Jhuk Ke Uthaayi Hussain Ne
Khud Soonghi Aur Behen Ko Sunghaayi Hussain Ne
Hamsheer Ki Suni Yeh Duhaai Hussain Ne
Haaye Haaye Yeh Khaak Phenko Meri Jaan Jaati Hai
Bhaiya Tumhaare Khoon Ki Boo Is Mein Aati Hai

Baashindon Ko Wahan Ke Yeh Maula Ne Di Nida
Naam Is Zameen Ke Jitne Hon Lo Tum Juda Juda
Woh Bole Aap Ko Ho Mubarak Har Ek Bala
Yeh Nainawa Hai Maariya Hai Aur Karbala
Maabood Hai Yeh Khaleel Ka Gumbad Maseeh Ka
Shah Bole Ab Yeh Hoyega Madfan Zabeeh Ka

Abbas Ko Pukaare Na Aage Alam Barhaao
Manzil Yehi Hai Chhaoni Pardesiyon Ki Chhaao
Hamshakl-e-Mustafa Ko Nida Di Barhe Na Jaao
Beta Qanaatein Ghero Saraache Yaheen Lagaao
Ghore Ko To Hua Hai Hamaara Safar Tamaam
Dasween Ko Hoga Fatima Zahra Ka Ghar Tamaam

Masnad Pe Yaan Bitha Ke Behen Ko Shah-e-Huda
Kursi Bichha Ke Baithe Qareeb-e-Haram-Sara
The Dast-Basta Gird Jawanaan-e-Mah-Laqa
Le Le Ke Nazrein Aaye Zameendar-e-Karbala
Istaada Farte-Gham Se Jo Shabbir Ho Gaye
Nazron Pe Haath Rakh Ke Baghalgeer Ho Gaye

Bithla Ke Pehluon Mein Unhein Yeh Kiya Bayaan
Ae Karbalaiyo Main Tumhaara Hoon Mehmaan
Zaalim Mujhe Sataate Hain Jaata Hoon Main Jahan
Becho Jo Yeh Zameen To Chand Din Rahoon Yahan
Rehne Se Yaan Hamaare Sab Aaraam Paayenge
Khaak-e-Shifa Tumhaari Zameen Ko Banaayenge

Deenar De Ke Saat Hazaar Un Se Yeh Kaha
Bakhshi Tumhein Zameen Hiba Maine Kar Diya
Shabbir Ke Maamle Par Sab Ne Ro Diya
Likhne Laga Qabala Zameendar-e-Karbala
Ghul Par Gaya Hussain Watan Ko Na Jaayenge
Lo Mol Li Zameen Yaheen Basti Basaayenge

Marqoom Ho Raha Tha Qabala Ke Naagah
Khaime Se Ek Zan-e-Arabiya Hui Ayaan
Sar Ta Qadam Libaas Mein Saara Badan Nihaan
Par Is Pe Bhi Haya Se Larazte The Istikhwaan
Betaab Ho Ke Ulfat-e-Akbar Mein Aayi Thi
Raavi Ne Yeh Likha Hai Woh Zahra Ki Jaayi Thi

Le Kar Balaayein Bhai Ki Kuchh Kaan Mein Kaha
Aur Jaldi Yun Phiri Ke Na Saaya Nazar Para
Kursi Se Yaan Tarap Ke Gire Shah-e-Karbala
Abbas Ne Utha Ke Kaha Haaye Kya Hua
Maula Bata Qasam Tujhe Sheer-e-Batool Ki
Kya Keh Gayi Nawasi Janab-e-Rasool Ki

Shah Bole Aah Mujh Se Yeh Zainab Ka Tha Kalaam
Bhaiya Qabale Mein Ali Akbar Ka Ho Yeh Naam
Yaani Ke Us Ki Milk Mein Ho Yeh Zameen Tamaam
Abbas Jaao Keh Do Ke Majboor Hai Imam
Atharah Saal Ke Yeh Zamaane Se Jaayenge
Ek Qabr Ki Jagah Ali Akbar Bhi Paayenge

Abbas Khaime Mein Gaye Dene Ko Yeh Paighaam
Zainab Ne Dekhte Hi Unhein Yeh Kiya Kalaam
Kyun Bhai Meri Baat Pe Raazi Hue Anaam
Likha Gaya Qabale Mein Akbar Ka Mere Naam
Dulha Banaaoongi Main Dulhan Byaah Laaoongi
Akbar Ke Naam Ki Yahan Basti Basaaoongi

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.