Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Kya Hazrat-e-Zainab Ke Pisar Ahl-e-Wafa The

Mirza Dabeer

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Kya Hazrat-e-Zainab Ke Pisar Ahl-e-Wafa The is a traditional Urdu marsiya commemorating the devotion and sacrifice of Aun and Muhammad, the sons of Bibi Zainab (SA), in Karbala. The verses describe their desire for martyrdom, Imam Hussain's (AS) reluctance to grant them permission, and Bibi Zainab's heartfelt response. Read the seven-stanza version in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Kya Hazrat-e-Zainab Ke Pisar Ahl-e-Wafa The Lyrics

WA

Kya Hazrat-e-Zainab Ke Pisar Ahl-e-Wafa The
Dono Gauhar Ma'dan-e-Tasleem-o-Raza The
Parwane Shama-e-Rukh-e-Shah-e-Shohada The
Bachpan Se Muhammad Ke Nawase Pe Fida The
Sadma Na Gawara Tha Imam-e-Azali Ka
Dam Bharte The Har Waqt Hussain Ibn-e-Ali Ka

Ashoor Ko Jis Dam Hui Aaghaz Laraai
Hazrat Ke Rafiqon Ne Raza Jang Ki Paai
Jab Dakhil-e-Jannat Hue Woh Shah Ke Fidaai
Muslim Ke Yateemon Ne Bhi Jaan Apni Gawaai
Hazrat Ko Bare Daagh Mile Tishna-Labi Mein
Matam Ki Safen Bichh Gayin Namoos-e-Nabi Mein

Ghar Mein Yeh Talatum Tha Ke Aaye Ali Akbar
Ki Arz Phuphi Se Ke Zara Suniye To Madar
Roti Hui Ghabra Ke Uthi Zainab-e-Muztar
Paas Aa Kar Kaha Khair To Hai Ae Mere Dilbar
Matam Mein Baja Hosh Hamare Nahi Beta
Bhai To Kahin Ran Ko Sidhare Nahi Beta

Ro Ro Ke Tab Yeh Kehne Lage Akbar-e-Zeeshan
Hum Jeete Hain Bhala Jayenge Woh Kyun Kar Sar-e-Maidan
Jis Waqt Se Muslim Ke Pisar Ho Gaye Be-Jaan
Aansoo Nahi Thamte Shah-e-Deen Ke Kisi Unwan
Is Ranj-o-Museebat Mein Yeh Gham Aur Ghazab Hai
Ab Aap Ke Farzandon Ko Rukhsat Ki Talab Hai

Hazrat Jo Raza Dene Mein Farmate Hain Inkar
Woh Dono Jari Paon Pe Gir Jate Hain Har Baar
Samjhate Hain Chhati Se Laga Kar Shah-e-Abrar
Maan Tum Ko Raza Dene Na Dene Ki Hai Mukhtar
Is Bab Mein Ro Ro Ke Na Shabbir Se Poochho
Marne Ka Irada Hai To Hamsheer Se Poochho

Farmane Lagin Bint-e-Ali Sun Ke Yeh Guftar
Haaye Haaye Wohi Mukhtar Hain Zainab Nahi Mukhtar
Ja Kar Meri Janib Se Kaho Ae Mere Dilbar
Bhaiya Tumhein Zahra Ki Qasam Keejiyo Na Inkar
Razi Ba-Raza Nazr-e-Khuda Karti Hoon In Ko
Main Apne Bhatijon Pe Fida Karti Hoon In Ko

Mumkin Hai Ke Jaan Apni Bachaye Mere Pyare
Khadim Hain Namak-Khwar Hain Fidaai Hain Tumhare
Sadma Tha Mujhe Yeh Ke Na Kyun Ran Ko Sidhare
Marne Ka Unhein Khel Mein Dhyan Aa Gaya Bare
Rokoge Unhein Aap To Gham Khaungi Bhai
Bas Paon Pe Girne Ko Chali Aaungi Bhai

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.