Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Jab Hui Zohr Talak Qatl Sipah-e-Shabbir

Mirza Dabeer

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Jab Hui Zohr Talak Qatl Sipah-e-Shabbir is a traditional Urdu marsiya describing Imam Hussain's (AS) devotion to Allah after the martyrdom of his companions and family in Karbala. The verses remember Hazrat Ali Akbar (AS), Hazrat Abbas (AS), Hazrat Ali Asghar (AS), and the sacrifices made in the path of truth. Read the four-stanza excerpt in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Jab Hui Zohr Talak Qatl Sipah-e-Shabbir Lyrics

WA

Jab Hui Zohr Talak Qatl Sipah-e-Shabbir
Ghair Asghar Na Raha Noor-e-Nigah-e-Shabbir
Thi Faqat Rooh-e-Ali Pusht-o-Panah-e-Shabbir
Haq Se Kehta Ke Tu Rahiyo Gawah-e-Shabbir
Sar Fida Kar Ke Shareek-e-Shohada Hota Hoon
Aaj Main Teri Amanat Se Ada Hota Hoon

Ab Na Qasim Mera Baqi Hai Na Akbar Baqi
Na Alamdar Salamat Hai Na Lashkar Baqi
Bhanje Hain Na Bhatije Na Baradar Baqi
Ab Faqat Sar Mera Baqi Hai Aur Asghar Baqi
Qatl Asghar Ho Mera Sar Bhi Juda Ho Jaye
Is Amanat Se Bhi Shabbir Ada Ho Jaye

Ya Khuda Tujh Pe Main Sadqe Mera Lashkar Bhi Nisar
Dil Fida Rooh Fida Jaan Fida Ghar Bhi Nisar
Ali Asghar Bhi Nisar Aur Ali Akbar Bhi Nisar
Tujh Pe Baqir Bhi Fida Abid-e-Muztar Bhi Nisar
Maine Jo Kuchh Teri Dargah Se Paya Maula
Sab Teri Raah Mein Khush Ho Ke Lutaya Maula

Woh Kaleje Pe Dhare Haath Pare Hain Akbar
Hain Woh Abbas-e-Dilawar Woh Hasan Ka Dilbar
Ek Ek Pyare Ko Qurban Kiya Gin Gin Kar
Ki Amanat Mein Khayanat Na Zara Ae Dawar
Tu Ne Daulat Jo Mujh Khaak-Nasheen Ko Sonpi
Woh Amanat Tere Bande Ne Zameen Ko Sonpi

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.