Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Jab Pareshan Hui Maula Ki Jamaat Ran Mein

Mirza Dabeer

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Jab Pareshan Hui Maula Ki Jamaat Ran Mein is a traditional Urdu marsiya attributed to Mirza Dabeer, describing Imam Hussain's (AS) final prayer and the moments leading to his martyrdom in Karbala. The verses portray the spiritual significance of the Imam's prayer, the grief of Bibi Fatima Zahra (SA), and the sacrifices of Hazrat Ali Akbar (AS), Hazrat Ali Asghar (AS), and the companions of Karbala. Read the seven-stanza version with Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Jab Pareshan Hui Maula Ki Jamaat Ran Mein Lyrics

WA

Jab Pareshan Hui Maula Ki Jamaat Ran Mein
Har Namazi Ko Pasand Aayi Iqamat Ran Mein
Qibla-e-Deen Ne Kiya Qasd-e-Ibadat Ran Mein
Shakl-e-Mehrab Bani Tegh-e-Shahadat Ran Mein

Ghul Hua Us Ko Imam-e-Do Jahan Kehte Hain
Teghon Ke Saaye Mein Shabbir Azaan Kehte Hain

Aayi Aawaz Ke Yeh Rutba Use Hum Ne Diya
Hum Ne Sulb-e-Shah-e-Mardan Se Use Khalq Kiya
Jab Yeh Paida Hua To Is Ne Mera Naam Liya
Kyun Na Ho Is Ne Meri Fatima Ka Doodh Piya

Madh-Khwan Is Ka Main Hoon Mera Shanasa Hai Yeh
Kyun Na Ho Mere Muhammad Ka Nawasa Hai Yeh

Aah Aakhir Hui Jab Shah Ki Namaz-e-Aakhir
Dekha Khanjar Liye Baali Pe Khara Hai Kafir
Nange Sar Dar Pe Hain Sab Aal-e-Rasool-e-Tahir
Malak-ul-Maut Pukara Ke Hoon Main Bhi Hazir

Tegh-e-Qatil Ne Kaha Halq Ki Khatir Hoon Main
Shah Ne Farmaya Ke Taqdeer Pe Shakir Hoon Main

Khanjar-e-Zulm Ko Chamka Ke Pukara Dushman
Bosa-Gah-e-Nabawi Kaatun Main Ab Yeh Gardan
Bole Shah Jism To Razi Ho Nahi Jaye Sukhan
Halq Yeh Halq-e-Nabi Hai Yeh Badan Un Ka Badan

Dekh Sar Nange Har Ek Hoor-e-Jinaan Aati Hai
Abhi Seene Pe Na Charhna Meri Maa Aati Hai

Nagahan Aayi Yeh Aawaz Ke Amma Sadqe
Mere Maa Baap Fida Main Tere Qurban Sadqe
Kaun Kaun Aaj Hua Tum Pe Meri Jaan Sadqe
Peer Kitne Hue Kitne Nadaan Sadqe

Qatl-Gah Ko Abhi Jannat Se Jo Main Aati Thi
Hoor Ek Nanhe Se Laashe Ko Liye Jaati Thi

Door Se Main Ne Jo Ki Ghaur Se Kuchh Us Pe Nazar
Doodh Se Baachhe Lahu Se Tha Kafan Us Ka Tar
Baahein Nanhi Si Latakti Thin Idhar Aur Udhar
Ro Ke Shah Bole Woh Pota Tha Tumhara Asghar

Nakhl Is Bagh Ke Sab Phool Pehle Katte Hain
Ab Talak Subh Se Pyason Ke Gale Katte Hain

Qafila Lut Gaya Amma Mera Lashkar Na Raha
Jadd-e-Amjad Ki Nishani Ali Akbar Na Raha
Reh Gaya Dard-e-Kamar Haaye Baradar Na Raha
Jab Khabar Aap Ne Li Ghar Ki Ke Jab Ghar Na Raha

Ek Main Hoon So Mere Zibah Ki Mushtaqi Hai
Bosa-Gah-e-Nabawi Katne Ko Ab Baqi Hai

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.