Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Maa Kahan Na Thi

Nadeem Sarwar

2008Urdu
2008Urdu
Yeh Maa Kahan Na Thi is Nadeem Sarwar's 2008 recitation portraying Bibi Fatima Zahra appearing to Bibi Zainab and reminding her that a mother's grief accompanied every stage of Karbala. The verses move through the martyrs, Hussain's farewell, captivity and the journey to Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Yeh Maa Kahan Na Thi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yeh Maa Kahan Na Thi

Yeh Maa Kahan Na Thi

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Yeh Maa Kahan Na Thi

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Yeh Maa Kahan Na Thi

Yasrib mein aayi khwab mein Zainab ke yun Batool
Matha bhara tha khoon mein, sar par rida na thi
Zainab ne poochha:
Kiske lahu se jabeen hai laal?
Amma, tum par to aafat-e-safar-e-Karbala na thi

Ro kar kaha Batool ne:
Tum yaad to karo
Tum apni yaad ko zara abad to karo
Kis waqt, kis jagah
Main Shareek-e-Aza na thi?

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Royi tumhare sath bahattar ki lash par
Akbar ki lash par, Ali Asghar ki lash par
Zainab, main kis Shaheed ki Sahib-e-Aza na thi?

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Jhada tha kisne balon se sehra-e-Karbala?
Kisne bichhaya aake musalla-e-Karbala?
Haye, main Karbala mein Shab-e-Qatl kya na thi?

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Rakht-e-kuhan Hussain ne manga tha jis ghadi
Khaime mein Bibi tumko ghash aaya tha jis ghadi
Khaime ke peechhe rone ki meri sada na thi?

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Rukhsat ko aaya khaime mein jab Ibn-e-Bu-Turab
Thami thi tumne jis ghadi Mazloom ki rikab
Kya sath sath ghode ke main nange pa na thi?

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Jab tum giri thi Bhai ke lashe pe oont se
Naqe pe tum sawar thi, bazu rasan mein the
Kya baal khole lashe pe Khair-un-Nisa na thi?

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Yasrib se ta-ba-Mariya
Aur wahan se ta-ba-Shaam
Hamrah thi qadam-ba-qadam
Sath gaam-gaam
Zainab, kahin Hussain se Zahra juda na thi

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Zainab ne arz ki:
Ke baja kehti hain Janab
Main sun rahi hoon
Jo ba-Khuda kehti hain Janab
Aye Walida, mujhe khabar-e-dast-o-pa na thi

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Imsal bhi Najaf ka irada tha, aye Dabeer
Aur Karbala bhi jaun, ye socha tha aye Dabeer
Par reh gaye tadap ke ke qismat rasa na thi

Yeh Maa Kahan Na Thi
Zainab, safar mein sath tere
Maa kahan na thi?
Yeh Maa Kahan Na Thi

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.