Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Musafiran-e-Musibat

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Musafiran-e-Musibat is Nadeem Sarwar's 2005 recitation of a classical lament attributed to Mirza Dabeer, portraying the captive family of Imam Hussain returning toward Madina after Karbala and Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Musafiran-e-Musibat Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Musafiran-e-Musibat

Musafiran-e-Musibat

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Musafiran-e-Musibat

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Na mehmil hai, na haudaj hai
Na lashkar ki woh saj-dhaj hai
Na sar pe alam, na chadar hai
Allah, ye kaisa manzar hai

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2
Safar se aate hain, saughat-e-dard late hain
Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Kiya salam Muhammad ke aastane ko
Kata ke aaye hain Zahra ke sab gharane ko
Na kar qubool tu hum bekason ke aane ko
Ye noha karte hain aur ashk-e-khoon bahate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Madina, hum tere Wali ko aaye hain kho kar
Madina, Kufe mein sar-nange hum phire dar-dar
Madina, daagh-e-rasan hai hamare shanon par
Utha ke hath Madine ko ye sunate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Har ek qadam hai buka, kab labon pe bain nahin
Hum aaye zinda, pa Zahra ka Noor-e-Ain nahin
Madina, Akbar-o-Qasim nahin, Hussain nahin
Ye kaise kaise jawan the jo yaad aate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Madine walo, kaho us Behen ki kya taqdeer
Jo dekhe apne Biradar ke halq par shamsheer
Lahu mein gharq jo dekhe Hussain ki tasveer
Lahu mein kya yunhi Bhai ka sar dikhate hain?

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Batao, kehte hain kya sab us Amma-jayi ko
Jo Arbaeen talak de kafan na Bhai ko
Behen dikhayegi munh kis tarah Khudai ko
Kafan diya hai na unki lahad banate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Chala Bashir ye deta hua khabar ghar ghar
Magar Mahalla-e-Hashim mein dekhta hai kya:
Ke ek mareeza sar-e-rah hai khadi tanha
Hai muntazir ke woh kunbe ke log aate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Khabar ye phaili to matam har ek ghar mein hua
Nikal nikal padi sab auratein barehna-pa
Giri zameen pe Sughra ke us pe charkh gira
Ye sogwar hain Sughra ke paas aate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Fiza-e-dard mein le kar udasiyan aayi
Safar se laut ke idhar bhookhi pyasiyan aayi
Utho Rasool, tumhari nawasiyan aayi
Ye khud ko unton se Ahl-e-Haram girate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Jo aayi kaan mein awaaz-e-Bano-e-Muztar:
Kahan ho aye mere Wali, Imam-e-Jinn-o-Bashar?
Tadap ke reh gayi Sughra, bapa hua mehshar
Dabeer, bas ab falak thar-tharate hain

Musafiran-e-Musibat watan mein aate hain ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.