Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Qaid Khane Main Talatum Hay

Nadeem Sarwar

2007Urdu
2007Urdu
Qaid Khane Main Talatum Hay is Nadeem Sarwar's 2007 recitation of a marsiya by Mirza Salamat Ali Dabeer, depicting Hind entering the prison of Shaam and gradually recognizing the captive family of Imam Hussain.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2007
Original
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Lyrics

Qaid Khane Main Talatum Hay Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Qaid Khane Main Talatum Hay

Qaid Khane Main Talatum Hay

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Qaid Khane Main Talatum Hay

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Sadat aur zindan ×2
Haye Sadat, Haye zindan ×2

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai ×2
Dukhtar-e-Fatima ghairat se mui jati hai
Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Aasman door, zameen sakht, kidhar jaun main?
Yahi behtar hai ke duniya se guzar jaun main
Bibiyon mil ke dua mango ke mar jaun main
Maut aati hi nahin, jaan khinchi jati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Aamad-e-Hind ka ghul Itrat-e-Shabbir mein hai
Shor-e-matam Haram-e-Sahib-e-Tatheer mein hai
Kehti hai: jaun kahan? Paon to zanjeer mein hai
Paon uthta hai to zanjeer lipat jati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Tha idhar Bibi Sakina se ye Zainab ka bayan:
Hind Darbar se jab aayegi su-e-zindan
Sabr tumko hai dikhana, na uthe shor-o-fughan
Haye, ye din bhi aseeri tumhe dikhlati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Dar-e-zindan pe hua itne mein amboh-e-kamal
Zan-e-hakim ka hai zindan mein nuzool-o-ijlal
Qaidiyon, uth ke dua de ke karo istiqbal
Zauja-e-hakim-e-dauran hai jo ye aati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Hind ne dekh ke randan ki taraf di ye sada:
Kiska Yusuf hai ye zindan mein giraftar-e-bala?
Bibiyan kiski hain, rakhti jo nahin sar pe rida?
Unke chehron se to kuchh aur jhalak aati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Dekhti kya hai ke ek sher hai aahan mein nihan
Laghar-o-khasta-tan-o-faqa-kash-o-tishna-dahan
Na to chalne ki taqat hai, na koi rishta-e-jaan
Gustakhano se larazne ki sada aati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Aayi nazdeek jo Sajjad ke Hind-e-dilgeer
Boli: woh kaunsi isyan ki mili ye tazeer?
Bole: daswin ki Muharram ki jo pehni zanjeer
Aaj taqdeer bhi qaidi hamein kehlati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Hind ne poochha: maraz kya hai?
Kaha: be-pardagi
Ghar ko daryaft kiya
Kehne lage: dar-badari
Boli: leta hai khabar kaun?
Kaha: be-khabari
Jo khabargeer the unko to lahad bhati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Baba Sahib ke gale par jo na khanjar phirta
Inke sar khulte na, main kaanton pe dar-dar phirta
Aur Madine ki taraf sab ko main lekar phirta
Yaad Hazrat mein watan ki hamein tadpati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Hind ne naam Madine ka jo Abid se suna
Khak par baith gayi, haal ye taghyir hua
Boli: kya Zainab-o-Kulsoom se nisbat hai bhala?
Aise chehron se to khushbu-e-wafa aati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Boli Zainab:
Ke na le Zainab-o-Kulsoom ke naam
Woh Nabi-zadiyan hain, qaid mein unka kya kaam?
Hind boli:
Inhi baton mein hai sab unka kalam
Kyun meri rooh tumhe dekh ke ghabrati hai?

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Jo bhi surat hai woh masoom nazar aati hai
Qudrat-e-Khaliq-e-Qayyum nazar aati hai
Koi Zainab, koi Kulsoom nazar aati hai
Unse taqdeer ye kis haal mein milwati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Gird Abid ke phiri phir woh ba-haal-e-taghyir
Bole: woh kaun?
Ye chillayi: Kaneez-e-Shabbir
Assalam aye rasan-o-tauq-o-salasil ke aseer
Noha karti hui qadmon mein giri jati hai

Qaid khane mein talatum hai ke Hind aati hai

Bas Dabeer, ab gham-e-Shabbir se larza hai jigar
Hind bhi mahv-e-aza aaj hui nang-e-sar
Qaid khane mein hua sina-zani se mehshar
Yehi majlis hai jo khud marsiya kehlati hai

Haye Sadat aur zindan

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2007
Original language
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.