Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Momino Payam-e-Sarwar Ko Yaad Rakhna

Nadeem Sarwar

1988Urdu
1988UrduImam HussainMuharram
Aye Momino Payam-e-Sarwar Ko Yaad Rakhna is a 1988 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Mehshar Lakhnavi. The verses urge believers never to forget Imam Hussain (a.s.) and the tragedy of Karbala, recalling the suffering of Ali Asghar, Bibi Sakina, Hazrat Qasim, Ali Akbar, Bibi Laila and Bibi Zainab. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1988
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Aye Momino Payam-e-Sarwar Ko Yaad Rakhna Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aye Momino Payam-e-Sarwar Ko Yaad Rakhna

Aye Momino Payam-e-Sarwar Ko Yaad Rakhna

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aye Momino Payam-e-Sarwar Ko Yaad Rakhna

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Lega na jaane kitni yeh karwatein zamana
Chahe har ek shay ko duniya ki bhool jaana
Ujra jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna
Karb-o-Bala ke khooni manzar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Aaghosh mein tumhari masoom koi aaye
Jab pyaar se koi maa jhoola use jhulaaye
Bano ki bebasi ko, Asghar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Aa jaaye jab kisi par taqdeer se yateemi
Furqat mein baap ki jab mar jaaye koi bachchi
Aulad waalo, meri dukhtar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Tumko Khuda dikhaaye khushiyon ka har sawera
Qismat se jab bhi baandho apne pisar ke sehra
Qasim ko yaad rakhna, Akbar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Dekho na zindagi mein marna jawan pisar ka
Bete ka daagh dil par hota hai umr bhar ka
Laila ki hasraton ko, Akbar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Behno ko, betiyon ko jab bhi rida urhaana
Hum bekason ko hargiz dil se nahin bhulaana
Meri behan ke sar ki chaadar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Beton ko jo na royi qurbaan kar ke mujh par
Aur sar nahin uthaaya ehsaan kar ke mujh par
Us jaan-nisaar meri khwahar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Aaye kisi taraf se matam ki jab sadaayein
Ahl-e-aza ko Mehshar dena agar duaayein
Gulzar-e-Hyderi ko, Sarwar ko yaad rakhna
Aye momino, payam-e-Sarwar ko yaad rakhna

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1988
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.