Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tamam Aalam Mein Aaj Matam

Nadeem Sarwar

1990Urdu
1990UrduImam HussainMuharram
Tamam Aalam Mein Aaj Matam is a 1990 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry attributed to Mehshar Lakhnavi. Describing the mourning of Imam Hussain (a.s.) throughout the world, it recalls the alam of Hazrat Abbas, the empty Zuljanah procession, the martyrdom of Ali Akbar and the grief of Bibi Zainab. The Noha honours Azadari as a sacred trust and devotion to the Ahlulbayt. Read the Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1990
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Tamam Aalam Mein Aaj Matam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tamam Aalam Mein Aaj Matam

Tamam Aalam Mein Aaj Matam

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Tamam Aalam Mein Aaj Matam

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai
Alam gharon mein saje hue hain, dilon mein farsh-e-aza bichha hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Siyah kapre, siyah chaadar, ghamon ki gard-o-ghubaar sar par
Hain sogwaron ke ashk jaari ke Sani-e-Zehra be-rida hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Na chashm-e-purnam ho kyun sawaali, juloos hai Zuljanah khaali
Ke mera Duldul-sawaar Maula zameen-e-Karbal mein so raha hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Alam mein mashk-e-Sakina dekho, to momino bas yeh keh ke ro lo
Chacha bhateeji mein kya hai nisbat, wafa-e-Abbas kya wafa hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Hussain peeri mein dil sambhaale, ke dil se uljhi sinaan nikaale
Jawaan beta lahu mein dooba, zameen pe edi ragad raha hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Na maar barchhi dil-e-Nabi par, abhi hue hain jawaan Akbar
Yeh qatl jisko tu kar raha hai, yehi to hamshakl-e-Mustafa hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Madine waalo, khaamosh rehna, ghareeb Zainab se kuch na kehna
Basa hua ghar jo le gayi thi, woh Karbala mein ujad gaya hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Aza-e-Shabbir hai ibaadat, Janab-e-Zainab ki hai amaanat
Yeh Noha tere qalam se Mehshar, Janab-e-Zehra ki ek ata hai
Tamam aalam mein aaj matam Hussain-e-bekas ka ho raha hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1990
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.