Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho

Nadeem Sarwar

1993Urdu
1993UrduImam HussainMuharram
Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho is a 1993 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi. Addressing the mourners of Imam Hussain (a.s.), it calls for courage, loyalty, justice, resistance to oppression and the preservation of the message of Karbala. Read the Roman Urdu lyrics with Urdu and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1993
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho

Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aye Sheh Ke Azadaro Kis Baat Mein Tum Kam Ho

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tareekh ke kirdaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Darya ho, samandar ho, tum seep-o-gauhar ho
Tum mard-e-qalandar ho, sehra mein gul-e-tar ho
Tum azm-e-Abuzar ho, tum fikr ke Qambar ho
Tum Hurr ka qabeela ho, tum John ka lashkar ho
Aye gham ke alamdaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Rasta nahin, manzil ho, dhadkan nahin, tum dil ho
Mazloom ke tum haami, har zulm ke qaatil ho
Insaan ki azmat ke har baab mein shaamil ho
Zulmat ke samandar mein tum noor ka saahil ho
Matam ke talabgaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Nisbat hai Payambar se, nisbat tumhein Haider se
Is nisbat-e-Maula se tum door rahe shar se
Tum aankh milaate ho har waqt sitamgar se
Jo dars mila tumko Salman-o-Abuzar se
Tum roop wohi dhaaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Abbas ke parcham se seekhi hai wafadari
Aankhon mein tumhari hai imaan ki bedaari
Qismat se mili tumko mazloom ki ghamkhwari
Zaalim ke liye ab bhi tum tegh ho do dhaari
Mazloom ke ghamkhwaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Zainab ki rida tumse karti hai sawaal aisa
Kis gham mein bahaate ho aankhon se lahoo apna
Kya ghar mein tumhare bhi paighaam mera pahuncha
Jis deen ke laashe pe kaam aaya mera parda
Laaj uski rakho dekho, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Kya dars liya tumne Akbar ki jawani se
Kya seekha batao to Karbal ki kahani se
Mat behlo khateebon ke alfaaz-o-ma'ani se
Mehfooz haqeeqat ko rakhna hai kahani se
Aye ilm ke mayyaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Masjid ke musalmano, maidan ke bano Ghazi
Tum Hurr ki tarah maango ek raat mein azaadi
Darbaar mein zaalim ke kyun bante ho faryaadi
Sajjad ne jis tarah deewaar-e-sitam dhaayi
Deewaar-e-sitam dhaao, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Tum Nahj-ul-Balagha ki tafseer mein dhal jaao
Haider ki ghulami ka andaaz to apnaao
Mazloom ko mat chhedo, zaalim se na ghabraao
Haq baat jo kehna hai, sooli pe bhi dohraao
Allah ke naqqaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Shabbir ke matam mein imaan ki hararat hai
Yeh ain-e-ibadat hai, yeh ain-e-shariat hai
Shabbir ke paikar mein Islam ki nusrat hai
Khanjar ke tale dekho, qaim jo ibadat hai
Maula ke tarafdaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Socho to zara manzar tum Shaam-e-Ghareeban ka
Ghar jalta tha jab ran mein us waris-e-Quran ka
Paamaal tha jab laasha ek be-sar-o-samaan ka
Kirdaar magar kya tha us waris-e-Quran ka
Samjho to samajhdaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Pyaasa tha lab-e-darya woh lakht-e-dil-e-Zehra
Aankhon se barasta tha ghurbat mein lahoo jiska
Woh waqt bhi tha kaisa, chhe maah ka ek bachcha
Haathon pe tadapta tha, paani ka na qatra
Us waqt ke jaabaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Hal-min ki sada ab bhi humse hai yehi kehti
Shabbir ki nusrat ki dil mein jo tamanna thi
Kya ab bhi hai woh baaqi jo chaah thi Maula ki
Aawaaz wohi dil ki har saans mein hai ab bhi
Jalte hue angaro, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Tum raah-e-sadaqat se, imaan ki hararat se
Kirdaar-e-imamat se, afkaar-e-risalat se
Tum shauq-e-shahadat se, Maula ki inayat se
Islam ki khidmat se, mayyaar-e-mohabbat se
Tareekh nayi likh do, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Imaan hai azadari, hai deen ki bedaari
Jarraari-o-karraari hai azm-e-wafadari
Himmat na agar haari, zinda rahi khuddari
Mil jaayegi sardari, Haider ki tarafdari
Kar ke to zara dekho, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Rehan pe, Sarwar pe Maula ki inayat hai
Nohe ki azaanon mein matam ki iqamat hai
Sach poochho to dono ki har saans ibadat hai
Aye ahl-e-aza tumko matam ki jo daawat hai
Munh mod ke mat jaao, kis baat mein tum kam ho
Aye Sheh ke azadaro, kis baat mein tum kam ho

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1993
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.