Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ayyuhan Naas

Nadeem Sarwar

1990Urdu and Persian
1990Urdu and PersianImam HussainMuharram
Ayyuhan Naas is a Persian and Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar in 1990, with poetry credited to Rehan Azmi. Beginning with an appeal in the name of Imam Hussain's blood, it calls upon believers to preserve the mourning of Karbala. The verses remember Bibi Sakina, Ali Akbar, Ali Asghar, Hazrat Abbas and Bibi Zainab, portraying the suffering of Imam Hussain and his household. Read the complete bilingual lyrics with Roman transliteration and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1990
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu and Persian

Lyrics

Ayyuhan Naas Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ayyuhan Naas

Ayyuhan Naas

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ayyuhan Naas

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ayyuhan Naas, shuma ra ba haqq-e-khoon-e-Hussain
Lahzeh-i goosh namayid badin shevan-o-sheen

Ayyuhan Naas, tumhein khoon-e-Hussaini ki qasam
Kam na ho ranj-o-alam aur yeh shor-e-matam

Yeh woh matam hai jo Zehra-o-Ali karte rahe
Asr-e-Ashoor yeh matam to Nabi karte rahe
Jab luta Fatima Zehra ka bhara ghar ran mein
Alqama roti thi aur Karb-o-Bala karti thi bain

Shud Sakina cho giraftar-e-ajal dar zindan
Na rafiq, na anis, na dam-e-ghamkhwaran
Mar gayi Shaam ke zindan mein Sakina ghut kar
Qatl ke waqt bhi aaye nahin bhaiya Akbar
Jiski hasrat rahi dil mein hi, rihaai na mili
Khoon bhara kurta kafan ban gaya, marqad zindan

Woh jo farzand-e-jawan khord sinan dar seena
Pidar-e-sokhta-jaan giryan kunad wa-wayla
Mar gaya saamne atharah baras ka beta
Haaye is umr mein sajta hai saron par sehra
Noor aankhon ka gaya, thokarein khaate hain Hussain
Dar-e-khaima pe khadi roti hai Bint-e-Zehra

Turbat-e-Asghar-e-Masoom ba-maidan bini
Bar vey ashk fishanad Hussain Ibn-e-Ali
Ek nanhi si lahad khod ke maidan mein Hussain
Kehte hain, saunpa Khuda ko tujhe aye noor-e-ain
Khwaab sab aankhon ka paiwand hue Umm-e-Rabab
Khaali jhoola hua aur kokh tumhari ujdi

Rafta shud chadar-e-Zainab sar-e-bazaar-e-jafa
Seena-kobi bokonand ahl-e-aza wa-wayla
Sar-e-bazaar-e-jafa Bint-e-Ali be-chaadar
Bhai atharah thay, koi na raha sar pe magar
Rassiyan, qaid, sitam, ranj-o-alam, kumbe ka gham
Tan ba-taqdeer hai is haal mein Bint-e-Zehra

Man na khwaham digar zindagi aakhir-e-lashkar
Baad-e-Abbas-e-Alamdar-o-Ali Akbar
Jee ke ab kya karein Shabbir ke lashkar na raha
Woh Alamdar, woh Abbas-e-dilawar na raha
Asr ka waqt liye jaam-e-shahadat aaya
Rakh diya sajda-e-Mabood mein Shabbir ne sar

Chashm-e-ma ashk-fishan dar gham-e-Shabbir hanooz
Man na khwaham ma-siwa matam-e-Shabbir hanooz
Ashk aankhon se nahin thamte hain Rehan kabhi
Yaad aa jata hai jab Shaam ka zindan kabhi
Jab bhi qirtaas pe main Noha-e-Shabbir likhoon
Meri tehreer mein aata hai mere qalb ka soz

Ayyuhan Naas, tumhein khoon-e-Hussaini ki qasam
Kam na ho ranj-o-alam aur yeh shor-e-matam

Ayyuhan Naas, shuma ra ba haqq-e-khoon-e-Hussain
Lahzeh-i goosh namayid badin shevan-o-sheen

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1990
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu and Persian

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.