Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Baba Baba Hussain

Nadeem Sarwar

2014Urdu
2014Urdu
Baba Baba Hussain is Nadeem Sarwar's 2014 noha voiced through Bibi Sakina during Shaam-e-Ghareeban. The verses portray the burning tents, captivity, her injuries and her repeated cry for Imam Hussain after the tragedy of Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Lyrics

Baba Baba Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Baba Baba Hussain

Baba Baba Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Baba Baba Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain, Hussain, Hussain, Hussain

Shaam-e-Ghareeban, al-aman
Phaila hua har su dhuan
Nauha-kunan Sayyidaniyan
Ghash mein pada ek natawan
Pyasi Sakina nauha-khwan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Jalte hue khaime idhar
Lashe tadapte the udhar
Karb-o-Bala ki khak par
Boli Sakina rakh ke sar

Baba, suno meri fughan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Baagh-e-Nabi taraaj hai
Sholon ka har su raaj hai
Haye kafan ke waste
Baba mera mohtaj hai

Kitna bada hai imtehan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Shaam-e-masaib aa gayi
Aandhi ghamon ki chha gayi
Main janib-e-darya gayi
Lash-e-Chacha tharra gayi
Kanon se khoon dekha rawan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Rukhsar neele ho gaye
Itne tamache hain lage
Baba, Khuda ke waste
Mujhko laga lo seene se

Dukhti hain meri pasliyan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Tapti zameen, jalti hawa
Aye Maqtal-e-Karb-o-Bala
Ek do-pahar mein kya hua?
Loota gaya kunba mera
Chadar na sar pe, sayeban

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Ek resman bara gale
Kuch is tarah bandhe gaye
Har aati jati saans bhi
Jaise koi khanjar chale
Nazuk gale mein resman

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Rassi mein Baba bandh gaye
Taza sitam hone ko hai
Zanjeer laye ashqiya
Beemar Abid ke liye
Pehna rahe hain bediyan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Kya Sarwar-o-Rehan hum
Batlayein roodad-e-sitam?
Nazuk se dil ke ranj-o-gham
Kehti rahi woh dam-ba-dam:

Ab tum kahan aur hum kahan

Baba Baba Hussain ×3
Sakina ki aati thi sada
Baba Baba Hussain ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.