Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Badshah Hussain

Nadeem Sarwar

2016Urdu
2016Urdu
Badshah Hussain is a 2016 Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi and Nadeem Sarwar. The kalaam praises Imam Hussain (AS) as the protector of faith, recalls his sacrifice at Karbala, and incorporates the famous Persian lines Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Original
Urdu
Album
Badshah Hussain

Lyrics

Badshah Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Badshah Hussain

Badshah Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Badshah Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain ×2

Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain

Ye deen-panahi ka sharaf kisko mila hai
Ye kiska laqab hai jo sar-e-arsh likha hai

Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain

Ajmer ke Khwaja ne ye sach khoob kaha hai
La-raib ke Shabbir hi kalme ki baqa hai

Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain

Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Sar daad, na daad dast dar dast-e-Yazid
Haqqa ke bina-ye la ilah ast Hussain

Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain

Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain

Maula, bada kaam kiya
Deen-e-Khuda aam kiya
Kar na saka koi kabhi
Tu ne wohi kaam kiya
Waada wafa karke raha
Sar na jhuka, haq pe jiya
Sabse bada mera Khuda
Karta raha ailaan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain
Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Ishq tera ishq-e-Khuda
Nok-e-sinan tak jo gaya
Ishq mein jo tu ne diya
Koi bhi woh de na saka
Noor-e-Khuda, dast-e-Khuda
Tere siwa kaun hua
Kehna pada, likhna pada
Hai ye tera ehsaan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain
Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Sarwar-e-zeeshan Hussain
Azmat-e-insan Hussain
Bolta Qur'an Hussain
Main tere qurban Hussain
Meer-e-Haram, Rab ki qasam
Tera ye gham hoga na kam
Farsh-e-aza, haq ki sada
Hai ye tera faizaan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain
Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Azm-e-jawan, tashna-laban
Be-watanan, be-kafana
Tere liye hai ye fughan
Arsh-o-zameen nauha-kunan
Dard-e-dilan, tashna-dahan
Khushk-zaban, nok-e-sinan
Tan se juda sar tha magar
Padhta raha Qur'an Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain
Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Har ja hai hukumat teri, har dil mein basa hai
Har dil mein azakhana tera aaj saja hai
Qur'an-e-masaib mein tera naam likha hai
Matam ki sada hai ke ye tu bol raha hai
Ishq-e-Khuda teri ada
Naam tera zinda raha
Karbobala ki hai sada
Tu hai bada insan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain
Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Tu zinda, azadari teri zinda rahegi
Woh qaum jo bedar hai gham tera karegi
Awaaz-e-azan jo tere rauze se uthegi
Wallah, Khudai teri awaaz sunegi
Shah-e-zaman, hadi-e-man
Naaz-e-chaman, sheerin-sukhan
Shan-e-Nabi, shan-e-Ali
Yaani meri jaan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain
Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain

Jannat-e-man Karbobala
Rahat-e-man Karbobala
Sarwar-o-Rehan-e-aza
Daulat-e-man Karbobala
Hum hain safeeran-e-aza
Shah-e-Huda, tum pe sada
Jaan karein tum pe fida
Hai ye mera armaan Hussain

Shah Hussain, Badshah Hussain
Deen ast Hussain, deen-panah ast Hussain

Karbobala ishq-e-Khuda
Ishq ka tu Sultan Hussain
Badshah Hussain, Hussain
Badshah Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Original language
Urdu
Album
Badshah Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.