Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Behan Main Sath Sath Hoon

Nadeem Sarwar

2008Urdu
2008Urdu
Behan Main Sath Sath Hoon is Nadeem Sarwar's 2008 noha portraying Imam Hussain speaking to Bibi Zainab from the spear as the captive caravan begins its journey. The recurring reassurance urges Zainab not to lose courage and to carry the mission of Karbala forward.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Behan Main Sath Sath Hoon Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Behan Main Sath Sath Hoon

Behan Main Sath Sath Hoon

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Behan Main Sath Sath Hoon

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shareek-e-Karbala Behan
Meri Musafira Behan

Ya Hussain ×4

Rasan mein bandh chuka gala
Lo chal pada woh qafila
Behan ghareeb noha-gar
Sinan pe jab padi nazar
Khamosh the Shaheed sab
Akhi ke hil rahe the lab

Sinan pe hoon to kya hua ×2
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×3

Ghareeb-e-Karbala Behan
Diler-e-bawafa Behan
Ghamon ki Alqama Behan
Meri Musafira Behan

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Wafa-e-wada ho chuka
Sinan talak main aa gaya
Main apna kaam kar chuka
Meri Shareek-e-Karbala

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Ye rassiyan, ye bediyan
Qadam qadam pe sakhtiyan
Rida baghair Bibiyan
Behan, kada hai imtehan

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Agar hai rasta kathan
Zara na dar meri Behan
Tu be-rida, main be-kafan
Hai waqt hausla-shikan

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Qadam qadam shahadatein
Guzar gayin qayamatein
Abhi hain aur aafatein
Sambhal ab amanatein

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Koi bhi ab nahin bacha
Bas Abid-e-shikasta-pa
Ye sarbaan-e-ghamzada
Gire jo kha ke ghash zara

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Behan, thehar, thehar yahin
Laraz rahi hai kyun zameen?
Sakina gir gayi kahin
Na mil sake jo woh hazeen

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Bahut qareeb Shaam hai
Hujoom-e-khas-o-aam hai
Yazid-e-bad-kalam hai
Ye waqt-e-inteqam hai

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Ghareeb-e-Karbala Behan
Diler-e-bawafa Behan
Ghamon ki Alqama Behan
Meri Musafira Behan

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Rehan-o-Sarwar-e-Aza
Jo Shaam pahuncha qafila
Sar-e-Hussain ne kaha:
Ulat de takht-e-Shaam ka

Ghareeb-e-Karbala Behan
Diler-e-bawafa Behan
Ghamon ki Alqama Behan
Meri Musafira Behan

Tu hausla na haarna
Sinan pe hoon to kya hua
Tu hausla na haarna
Behan, main sath sath hoon ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.