Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bhai Main Zainab Hoon

Nadeem Sarwar

1991Urdu
1991UrduImam HussainArbaeen
Bhai Main Zainab Hoon is a 1991 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar from Hum Hain Hussaini, with poetry attributed to Rehan Azmi. It portrays Bibi Zainab (s.a.) returning to Karbala and addressing her brother Hazrat Abbas (a.s.), recalling the suffering of the Ahlulbayt in Kufa and Shaam. Read the Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1991
Occasion
Arbaeen
Original
Urdu
Album
Hum Hain Hussaini

Lyrics

Bhai Main Zainab Hoon Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bhai Main Zainab Hoon

Bhai Main Zainab Hoon

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Bhai Main Zainab Hoon

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Woh zaair-e-Hussain, woh Jabir, woh Karbala
Woh Shaam se palat ke jab aaya tha qaafila
Naaqon ke jo chalne se ubharne lagi sada
Jabir ne badh ke qaafile waalon se yeh kaha
Ruk jaao ke yeh saltanat-e-Ibn-e-Ali hai
Naaqon pe yahaan aana badi be-adabi hai
Jab is sada ko Zainab-e-dilgeer ne suna
Royi jigar ko thaam ke aur ro ke yeh kaha
Parwardigar, shukr hai tera bahut bada
Jageer hai yeh Ghazi ki, aati hai yeh sada
Phir iske baad naaqe se khud ko gira diya
Abbas ki behan ne tadap ke yeh di sada
Aray Zainab hoon bhai, Zainab hoon bhai
Bhai main Zainab hoon

Yeh Karbala hai jageer teri
Hum aaye teri jageer mein
Reh jaaye zindaan mein hi Sakina
Yeh bhi likha tha taqdeer mein
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Bazaar-e-Kufa se woh guzarna
Ahl-e-haram ke salaar ka
Bhaiya sajaaya tha ashqiya ne
Ek ek kona bazaar ka
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Bhaiya tumhari ghairat ki khaatir
Baalon se parda karti rahi
Chaadar nahin thi sar par jo mere
Ek ek qadam par marti rahi
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Bhaiya Sakina ko ek shaqi ne
Maanga kaneezi mein jis ghadi
Main bint-e-Zehra, main bint-e-Haider
Bhaiya laraz kar main reh gayi
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Kaisa andhera zindaan tha woh
Jismein Sakina jaan se gayi
Baba, chacha se mujhko mila do
Masoom ro ro kehti rahi
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Kurta jo uska khoon mein bhara tha
Usko banaaya maine kafan
Jab dafn karte thay usko Abid
Tharra raha tha unka badan
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Zindaan se chhoot kar main aa gayi hoon
Ranj-o-alam ki chaadar liye
Bazaar-e-Kufa mein hain jo guzre
Aankhon mein saare manzar liye
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Rehan, Zainab ki yeh fughaan thi
Abbas-e-Ghazi ki laash par
Deti kafan main aye bhaiya tumko
Chheenti na sar se chaadar agar
Pehchaano mujhko aye mere Ghazi
Zainab hoon, aye bhai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1991
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Hum Hain Hussaini

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.