Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bhai Shabbir Fi Amanillah

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Bhai Shabbir Fi Amanillah is Nadeem Sarwar's 2005 noha in the voice of Bibi Zainab as the captive caravan leaves Karbala, bidding farewell to Imam Hussain while resolving to carry his message through Kufa and Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Bhai Shabbir Fi Amanillah Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bhai Shabbir Fi Amanillah

Bhai Shabbir Fi Amanillah

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Bhai Shabbir Fi Amanillah

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab aayi gyarah Muharram mayan-e-Karb-o-Bala
Behen ne Bhai ke phaile hue lahu se kaha:
Aye Shah-e-Bekasan, Khuda Hafiz
Aye mere Bhai jaan, Khuda Hafiz
Lo chala karwan, Khuda Hafiz

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah ×2

Zameen pe bikhre hue noor, is Behen ka salam
Badan-darida-o-majboor, is Behen ka salam
Chali hai tumse bahut door, is Behen ka salam

Misal-e-Fatima har dukh mein muskuraungi
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Salam Umm-e-Abiha ke god ke pale
Salam karte hain Zahra ke hath ke chhale
Salam zulf-e-Muhammad se khelne wale

Padenge durre to main sabr aazmaungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Ye gham nahin hai ke main sogwar qaidi hoon
Abu Turab ki aur Fatima ki beti hoon
Main is kaleje mein quwwat Ali ki rakhti hoon

Yazeed-e-waqt ke Khaybar ko main giraungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Rah-e-wafa ke bahattar musafiron ki qasam
Lab-e-Furaat sulagte hue gharon ki qasam
Sina ki nok pe rakhe hue saron ki qasam

Jalal-e-Hazrat-e-Abbas ban ke chhaungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Khushi se Ahl-e-Sitam bandh lein mere bazu
Banenge Nooh ka tufan ab mere aansu
Na chhup sakegi ye Khoon-e-Hussain ki khushbu

Main sar khule hue Darbar-e-Shaam jaungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Nigah janib-e-darya uthi to itna kaha:
Mere diler Alamdar, Fateh-e-Darya
Tujhe khabar hai mere sar se chhin gayi hai rida

Tere alam ka pharera rida banaungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Jo pahunchi Shaam to bazar ko saja dekha
Kabhi Najaf to kabhi su-e-Karbala dekha
Pukari: Baba, mera tumne hausla dekha

Jahan bhi jaungi Farsh-e-Aza bichhaungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Suna hai Sarwar-o-Rehan, Khwahar-e-Shabbir
Ali ke lehje mein karti thi jis ghadi taqreer
Yazeed-o-Shimr ke seene pe chalti thi shamsheer

Woh jab ye kehti thi:
Wade ko main nibhaungi ×2
Hussain zinda hai, duniya ko main bataungi

Bhai Shabbir Fi Amanillah
Chali Hamsheer Fi Amanillah

Le chala karwan, Khuda Hafiz ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.