Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana

Nadeem Sarwar

1999Urdu
1999UrduImam HussainMuharram
Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana is a 1999 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi. It portrays Bibi Fatima Sughra's heartfelt letter to her brother Ali Akbar before the tragedy of Karbala, asking him not to forget her during the family's journey and his hoped-for wedding. Read the Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1999
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana

Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Bhaiya Mujhe Bhool Na Jana

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sab phoolon ke gehne mein sanwari dulhan aaye
Tum jaise ho bas waise hi pyaari dulhan aaye
Sar pe agar sehra sajaana, haathon pe kangna jo baandhna ×2
Bhaiya mujhe bhool na jaana

Fatima Sughra ne yeh Akbar ko likha hai
Bhai salaamat raho, behna ki dua hai
Baad-e-dua dil mein yeh armaan basa hai
Masnad-e-shaadi jo bichhaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Baba ki aaghosh mein main bhi to pali hoon
Bhaiya teri ungli pakad kar main chali hoon
Kya main tere chhaaon se mehroom rahi hoon
Baba ki jab chhaaon mein jaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Baba se kehna ke meri jald khabar lein
Toot na jaayein kahin Baba meri saansein
Katta nahin din, na guzarti hain yeh raatein
Khat mera Baba ko sunaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Bhaiya tere baad jo din Eid ka aaya
Eid ke din Eid mein gham maine hai paaya
Mujhko bhare ghar ki judaai ne rulaaya
Dukh yeh mera sabko bataana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Sunti hoon Karbal ki bahut garm hawa hai
Amma se kehna ke yeh Sughra ne kaha hai
Phool sa Asghar jo mere saath gaya hai
Dhoop se jab usko bachaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Behno ka dil, jaan-e-jigar hota hai bhai
Aankh theharti hai jidhar hota hai bhai
Mere tadapne ka asar hota hai bhai
Tum ho jahaan mujhko bulaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Bhaiya mujhe rehta hai har waqt yeh ehsaas
Bhool gaye kya mujhe mere Chacha Abbas
Aye alam, aye Sakina, ho mere paas
Aas meri tod na jaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Amma se kehna ke Sakina ki qasam hai
Faasla ab qabr se beemar ka kam hai
Der na karna ke mere honton pe dam hai
Haath dua ko jo uthaana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Haaye khat-e-Sughra ke aakhir mein likha tha
Achha mere bhai, Khuda ko tumhein saunpa
Sarwar-o-Rehan, yeh jumla bhi ajab tha
Achha meri qabr pe aana
Bhaiya mujhe bhool na jaana ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1999
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.