Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bibiyaan Reh Gain

Nadeem Sarwar

2009Urdu
2009Urdu
Bibiyaan Reh Gain is Nadeem Sarwar's 2009 noha on Shaam-e-Ghareeban, portraying the women of the Ahlulbayt left beside the ashes of the burned tents after the martyrs of Karbala had fallen.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2009
Original
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Lyrics

Bibiyaan Reh Gain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bibiyaan Reh Gain

Bibiyaan Reh Gain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Bibiyaan Reh Gain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

So gaya lashkar ×2

Aye Shaam-e-Ghareeban ×3
So gaya lashkar

Bibiyaan reh gain ×2
Jalte hue
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain ×2

Dil se lagaye daagh bahattar, nauhagar
Bibiyaan reh gain
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain ×2

Shaam-e-Ghareeban se kuchh pehle
Jhoola, chadar, bistar tha
Pehlu mein Humshakl-e-Payambar
God mein Maa ki Asghar tha
Godiyan khali, maangein ujri, be-pisar
Bibiyaan reh gain
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain

Haan ye Abu Talib ka kunba
Betiyan saari Haider ki
Azmat-e-Zahra, azmat-e-Maryam
Izzat thi Payambar ki
Chadarein maangti naam-e-Payambar dar-ba-dar
Bibiyaan reh gain
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain

Dhalta suraj soch raha hai
Waqt-e-sahar kya manzar tha
Mahv-e-ibadat zer-e-alam
Shabbir ka sara lashkar tha
So gaya lashkar, jagne wali raat bhar
Bibiyaan reh gain
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain

Darya maujein maar raha hai
Pyas abhi tak baqi hai
Shayad Ghazi lot ke aaye
Aas abhi tak baqi hai
Dekh zara Zainab ke baradar, jaag kar
Bibiyaan reh gain
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain

Koi nahin jo poochhle aakar:
Kya hui Zainab teri chadar?
Tere to the atharah baradar
Kyun hai akeli pehre par?
Hamsafar maqtool hue sab hamsafar
Bibiyaan reh gain
Jalte hue khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan reh gain

Socho zara Rehan-o-Sarwar
Shaam-e-Ghareeban ka woh manzar
Chaak-gireban aaye jo Haider
Dekh ke Zainab ko pehre par
Ro diye Haider, khaime maqtal dekh kar
Bibiyaan reh gain
Aye Shaam-e-Ghareeban ×3
So gaya lashkar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2009
Original language
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.