Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bujh Gayi Pyaas Chacha

Nadeem Sarwar

1995Urdu
1995UrduImam HussainMuharram
Bujh Gayi Pyaas Chacha is a 1995 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi, from Labayk Ya Imam. It portrays Bibi Sakina pleading for Hazrat Abbas to return from the river, remembering the burning tents, the loss of Ali Asghar and the captivity of the Ahlulbayt. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1995
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Lyrics

Bujh Gayi Pyaas Chacha Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bujh Gayi Pyaas Chacha

Bujh Gayi Pyaas Chacha

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Bujh Gayi Pyaas Chacha

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Bujh gayi pyaas Chacha, laut ke ghar mein aao
Laut ke ghar mein aao
Poori kar do yeh dua, laut ke ghar mein aao

Jaanti hoon ke kate aap ke baazu ran mein
Aap ke baad bacha kya hai mere daaman mein
Kuch nahin karti gila ×2
Laut ke ghar mein aao

Hote jaate hain bahut Shaam ke gehre saaye
Koi bhi ghar mein nahin, kaun mujhe behlaaye
Tumko deti hoon sada ×2
Laut ke ghar mein aao

Mujhko maaloom na tha door watan se aa kar
Aap so jaayenge darya pe alam lehra kar
Lo Chacha din bhi dhala ×2
Laut ke ghar mein aao

Aye Chacha dekhiye chheenti hai phuphi ki chaadar
Bhai Sajjad ka kheencha hai la'een ne bistar
Kya nahin tumko pata ×2
Laut ke ghar mein aao

Maa yeh kehti hai ke hum qaid bhi honge Ammu
Chhin gayi baaliyaan, khaaye hain tamaache Ammu
Dekho daaman bhi jala ×2
Laut ke ghar mein aao

Nanhe jhoole mein kabhi, god mein maadar ke kabhi
Dekhti hoon ke mehak paaun kahin Asghar ki
Saath Asghar ke Chacha ×2
Laut ke ghar mein aao

Ro ke Zainab ne kaha baali Sakina meri
Be-chacha aur be-pidar hona hai qismat teri
Kisko deti hai sada ×2
Laut ke ghar mein aao

Shaam se aaj bhi zaair jo koi aata hai
Saath Rehan woh paighaam yehi laata hai
Main hoon zindaan mein Chacha ×2
Laut ke ghar mein aao

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1995
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.