Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Buss Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2008Urdu
2008Urdu
Buss Ya Hussain is Nadeem Sarwar's 2008 title noha reflecting on the grace of Imam Hussain, the transformation of Hurr, sacrifice in Karbala and the final battle of Ashura. Its recurring message declares that whoever truly finds Hussain finds nearness to God.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Buss Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Buss Ya Hussain

Buss Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Buss Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Ya Hussain ×3

Aye Hurr, kise mili ye shahadat ki zeb-o-zain
Balin pe tere aayi hai khud Madar-e-Hussain
Is martabe ke baad to sab tujhko mil gaya
Aye Hurr, Hussain mil gaye, Rab tujhko mil gaya

Kuchh nahin mila ×2
Use tu nahin mila jise
Tu jisko mil gaya, Rab usko mil gaya ×3

Buss Ya Hussain ×4

Ye bas Hussain ki ata
Ye bas Hussain ka jigar ×2
Jo keh diya woh mo'tabar
Jo de diya to sara ghar ×2

Karam Hussain ka karam
Kisi pe ho gaya agar
Mile kisi ko baal-o-par
Kisi ko mil gaye pisar

Hurr bana diya ×2
Use jo ek baar mil gaya

Tu jisko mil gaya
Rab usko mil gaya

Buss Ya Hussain ×4

Wa tu'izzu man tasha
Wa tuzillu man tasha ×2

Adam ki poori nasl pe ehsan kaun tha
Jis par Khuda ko naaz, woh insan kaun tha
Kunbe ke sath deen pe qurban kaun tha
Nok-e-sina pe Qari-e-Quran kaun tha
Aye Karbala, bata tera mehman kaun tha

Buss Ya Hussain ×4

Bas Hussain ka ×2
Jise ye ikhtiyar mil gaya

Ye ikhtiyar kitna wasee-o-buland hai
Sara jahan Hussain ki mutthi mein band hai
Badla hai Karbala mein taqaza-e-inqilab
Neze pe ab jo sar hai wohi sar buland hai

Aiwan-e-inbisat mein jannat na kar talab
Ye woh gham-e-Hussain ke aansu mein band hai

Buss Ya Hussain ×2

Tu jisko mil gaya
Rab usko mil gaya

Dastan-e-Hussain ki samajh mein aa gayi agar
To Hurr ki rehguzar par karega ishq ka safar
Tadap tadap uthega tu, kahega raat raat bhar
Hussain bas Hussain hai, sina pe ya zameen par

Shah-e-Karbala ×2
Se jiske baal ka taar mil gaya

Tu jisko mil gaya
Rab usko mil gaya ×2

Ek dopahar mein jisne bhara ghar luta diya
Nigah-e-Khuda hai jis pe, woh sajda ada kiya
Apne lahu se khak ko Khak-e-Shifa kiya
Ashur ek roz tha, sadiyon pe chha gaya
Karb-o-Bala ko Arsh-e-Mualla bana diya

Buss Ya Hussain ×4

Salam Ya Hussain ×2
Rab ka aitibar mil gaya

Tu jisko mil gaya
Rab usko mil gaya

Jab ran mein Zulfiqar-e-Ali na-gahan chali
Bichh bichh gayin safon pe safein woh jahan chali
Chamki to is taraf, udhar aayi, wahan chali
Dene ko daad Arsh se pyase ki Maa chali

Muddat ka taal-mel tha, barson ka sath tha
Jaisi woh Zulfiqar thi, waisa hi hath tha

Kha kha gayi safon ko jidhar aayi Zulfiqar
Gah chhup gayi to gah nazar aayi Zulfiqar
Sar par chamak ke ta-ba-kamar aayi Zulfiqar
Zeen kaat kar zameen pe utar aayi Zulfiqar

Phir to ye ghul hua ke duhai Hussain ki
Allah ka ghazab hai ladai Hussain ki

Hussain Ya Hussain ×4

Aayi nida-e-ghaib ke Shabbir, marhaba
Is kaam ke liye thi ye shamsheer, marhaba
Ye aabru, ye jang, ye tauqeer, marhaba
Bas bas Hussain bas, mere dilgeer, marhaba
Waqt-e-namaz-e-Asr hai, takbeer, marhaba

Buss Ya Hussain ×4

Labbaik keh ke tegh rakhi Shah ne mayan mein
Palti sipah, aayi qayamat jahan mein
Lo khanjaroon mein, teghon mein, bhalon mein ghir gaye
Tanha Hussain barchhiyon walon mein ghir gaye

Hussain Ya Hussain ×4

Rehan-o-Sarwar-e-hazeen, suno ye aisa raaz hai
Hussain keh rahe the: bas Khuda pe mujhko naaz hai
Na Bhai, na pisar raha, na koi charasaz hai
Azan hai, Hussain hai, Khuda-e-Be-Niyaz hai
Na zeen, na zameen par, ye aakhri namaz hai

Hussain Ya Hussain ×4

Jiske dil mein Hussain rehta hai
Farsh-e-majlis ka jo bichhata hai
Jo bhi noha kahin sunata hai
Leke naam-e-Hussain rota hai
Usko Zahra salam karti hain ×6

Hussain Ya Hussain ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.