Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Chotey Hazrat

Nadeem Sarwar

2011Urdu
2011Urdu
Chotey Hazrat is Nadeem Sarwar's 2011 noha devoted to Hazrat Abbas and his revered association with loyalty, intercession and the standard of Karbala. The verses invite mourners to the symbolic court of Abbas and remember his sacrifice for Bibi Sakina and Bibi Zainab.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Original
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Lyrics

Chotey Hazrat Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Chotey Hazrat

Chotey Hazrat

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Chotey Hazrat

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas Alamdar

Kya hua?
Kyun udaas baitha hai?
Tu azadar-e-Ibn-e-Zahra hai
Chal wahan Rab jahan pe milta hai
Chal jahan Panjetan ka saya hai
Woh Sakhi dar khula hi rehta hai

Chotey Hazrat ki bargah chalo
Chalo Abbas ki dargah chalo

Inki dargah se
Saughat-e-wafa milti hai
Naam-e-Zainab pe
Yahan sabko rida milti hai
Zairo, aao
Sakina ki dua milti hai
Mere Saqqa ke azadar jiyo

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Haan yehi Bab-e-Hawaij
Dua-e-Zahra
Ye Ali ka sarapa
To Hasan ka chehra
Inko kehte hain
Hussain ibn-e-Ali ka pyara
Panjetan Pak ke
Pyare se kaho

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Hazari inki jab hoti hai
Diye jalte hain
Mustafa, Fatima
Hasnain-o-Ali aate hain
Milke sab Madar-e-Abbas se
Farmate hain:
Aao Abbas ki tum nazr to do

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Inka jab aath Muharram ko
Alam uthta hai
Ek mashkiza bhi
Panje se bandha rehta hai
Uspe Saqqa-e-Sakina bhi
Likha rehta hai
Ye alam kya hai
Sakina se suno

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Jisne nau lakh ke
Lashkar ka bharam tod diya
Uspe ek mashk ke
Chhidne ne sitam tod diya
Ya Sakina kaha
Aur khak pe dam tod diya

Milke sab
Matam-e-Abbas karo

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Zamin-e-chadar-e-Zainab the
Alamdar-e-wafa
Jis ghadi
Sani-e-Zahra se Fizza ne kaha:
Chadarein apni sambhalo
Ke woh Ghazi na raha

Pursa ab Zainab-o-Kulsoom ko do

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Chotey Hazrat ki ghulami ka
Sharaf paya hai
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Ye bada sarmaya hai
Noha jo Sarwar-o-Rehan se
Padhwaya hai
Shukr-e-Maula
Chalo Ghazi se kaho

Chalo Abbas ki dargah chalo
Chotey Hazrat ki bargah chalo

Chotey Hazrat
Hussain ke bhai
Chotey Hazrat
Ba-haqq-e-saqqai
Tum waseela ho
Gham ke maron ka
Tum waseela ho
Be-saharon ka
Bargah-e-Khuda mein
Aye Ghazi
Aapki baat
Rad nahin hoti

Dil ki uljhan
Nikal do Maula
Meri mushkil ko
Taal do Maula
Ye gunahgar bhi
Tumhara hai
Isliye aapko
Pukara hai

Dard ki ab
Koi dawa bhejo
Ab mujhe Karbala
Bula bhejo

Wasta Sayyid-e-Madina ka
Wasta Zainab-o-Sakina ka
Bibi Umm-ul-Baneen ka sadqa
Wasta Panjetan ka deta hoon
Wasta be-kafan ka deta hoon

Chotey Hazrat
Hussain ke bhai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Original language
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.