Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Neend Aayegi Jab Aap Ki Boo Paungi Baba

Nadeem Sarwar

2004Urdu
2004UrduImam HussainMuharram
Neend Aayegi Jab Aap Ki Boo Paungi Baba by Nadeem Sarwar is a noha from the 2004 Volume 24 recording, reflecting on farewell of imam hussain and bibi sakina and maqtal. Read Roman Urdu, Urdu script and English translation with preserved refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2004
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Shah Astt Hussain (Volume 24, 2004)

Lyrics

Neend Aayegi Jab Aap Ki Boo Paungi Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Neend Aayegi Jab Aap Ki Boo Paungi Baba

Neend Aayegi Jab Aap Ki Boo Paungi Baba

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Neend Aayegi Jab Aap Ki Boo Paungi Baba

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab khaime mein rukhsat ko Shaah-e-bahr-o-bar aaye
Chillaayi Sakina, mere bekas padar aaye
Sheh kehte the, bibi hamein ro kar na rulaao
Phir pyaar karein hum, tumhein munh aage ko laao
Woh kehti thi, humraah mujhe le ke to jaao
Main kya karoon maidaan mein gar jaa ke na aao?
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba ×2
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2

Farmaya, nikalti nahin Sayyidaniyaan baahar
Seene pe sulaayengi tumhein raat mein maadar
Kyun kehti ho maqtal mein chali aaungi Baba?
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Nanhe se kaleje pe mere chalti hai talwaar
Khulta nahin kyun aap ne baandhe hain yeh hathyaar?
Main aap ko kho kar na kabhi paaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Aati hai bala sar pe to pehle mujhe waaro
Mar jaaungi Baba, na sidhaaro, na sidhaaro
Jaaoge jahaan main bhi wahin jaaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Shab hogi to phir khaak pe soenge kahaan aap?
Seene pe to Asghar ko sulaayenge wahaan aap
Achchha main wahin khaak pe so jaaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Aane do agar pyaas se ghash aayega Baba
Tum jeete raho, paani bhi mil jaayega Baba
Main aap ko dekhungi to jee jaaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Kuch door na the hum ke tumhein neend na aayi
Kya hoga jab hogi maheenon ki judaai?
Bibi na kaho, main nahin so paaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Farmaya, nikalti nahin Sayyidaniyaan baahar
Seene pe sulaayengi tumhein raat mein maadar
Kyun kehti ho maqtal mein chali aaungi Baba?
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Nanhe se kaleje pe mere chalti hai talwaar
Khulta nahin kyun aap ne baandhe hain yeh hathyaar?
Main aap ko kho kar na kabhi paaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Woh haal Anees ab nahin ho sakta hai marqoom
Jis tarah chhooti baap se woh dukhtar-e-mazloom
Noha tha yehi jis ka, na jee paaungi Baba
Main raat ko maqtal mein chali aaungi Baba ×2
Neend aayegi jab aap ki boo paaungi Baba

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2004
Personalities
Imam Hussain, Bibi Sakina, Ali Asghar, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Farewell of Imam Hussain and Bibi Sakina, Maqtal
Original language
Urdu
Album
Shah Astt Hussain (Volume 24, 2004)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.