Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Dua-e-Kumail

Nadeem Sarwar

2003Urdu and Arabic
2003Urdu and Arabic
Dua-e-Kumail is Nadeem Sarwar's 2003 devotional munajat written by Rehan Azmi. Built around an Arabic supplication refrain, its Urdu verses ask Allah for forgiveness, healing, knowledge, protection, mercy for parents and intercession through the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2003
Original
Urdu and Arabic
Album
Dua E Kumal, Vol. 23

Lyrics

Dua-e-Kumail Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Dua-e-Kumail

Dua-e-Kumail

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Dua-e-Kumail

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Sari-ar-Riza ×6

Ighfir liman la yamliku illa ad-du'a
Fa innaka fa''alun lima tasha
Ya man ismuhu dawa
Wa zikruhu shifa
Wa ta'atuhu ghina

Tu hi Kabir, tu hi Kibriya, tu Rahnuma
Rag-e-gulu se bhi nazdeek tu har ek lamha
Hai tere naam ki taasir har maraz ki dawa
Hai tere zikr mein poshida mere haq mein shifa
Baghair mange hi karta hai tu ata pe ata ×2
Sada se pehle hi sunta hai sailon ki sada

Ya Sari-ar-Riza ×2

Ighfir liman la yamliku illa ad-du'a
Fa innaka fa''alun lima tasha
Ya man ismuhu dawa
Wa zikruhu shifa
Wa ta'atuhu ghina

Ali waseela bane aur Kumail paye shifa
Usi ke naam se mansoob ho gayi ye dua
Shab-e-Juma hai, Dua-e-Kumail, shukr tera
Ye ibtida hai to hai inteha Hadith-e-Kisa
Ilahi teri riza ke siwa kuchh aur nahin ×2
Ke mere paas dua ke siwa kuchh aur nahin

Ya Sari-ar-Riza ×2

Mere Khuda woh zabanein jo teri hamd karein
Woh tere Panjetan-e-Pak ki dua mein rahein
Kabhi woh nar-e-Jahannum ki sakhtiyan na sahein
Pul-e-Sirat se be-khauf, be-khatar guzrein
Gunahgaron ko ye aasra hai subh-o-masa ×2
Khula hua hai musalsal tera Dar-e-Tauba

Ya Sari-ar-Riza ×2

Rasool-e-Pak ke sadqe mein aye Khuda ghar ghar
Shu'a-e-ilm ki kirnon ka mustaqil ho guzar
Khula rahe mere bachchon pe Shahr-e-Ilm ka dar
Rahe jawanon ki har dam teri riza pe nazar
Teri riza ke bina rizq-e-ilm kya ho ata ×2
Jo tu na chahe Dar-e-Ilm khul nahin sakta

Ya Sari-ar-Riza ×2

Tu mere aib chhupata hai daal kar parda
Ilahi deta hoon main tujhko wasta uska
Wohi jo Shaam-e-Ghareeban mein de rahi thi sada:
Nahin hai kuchh bhi mere paas is rida ke siwa
Rasool-zadi ke parde ki laaj rakh lena ×2
Haram duaon ka meri bhi aaj rakh lena

Ya Sari-ar-Riza ×2

Shikasta pehlu-e-Zahra ka wasta aye Khuda
Jo waqt-e-ghusl Ali ne ba-sad buka dekha
To apne aansu Ali saari rok na saka
Khuda ka Sher bhi ek cheekh maar kar roya
Usi Rasool ki beti ka wasta aye Khuda ×2
Ho walidain ko sehat ke sath umr ata

Ya Sari-ar-Riza ×2

Woh ek Mareez jo bas Shaam keh ke rota tha
Jhukaye sar woh Haider rota jata tha
Pehen ke bediyan jo Karbala se Shaam gaya
Usi Mareez ke sadqe se mangta hoon shifa
Maraz se pehle dawa khalq tune ki hai Khuda ×2
Baraye Sayyed-e-Sajjad de hamein bhi shifa

Ya Sari-ar-Riza ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2003
Original language
Urdu and Arabic
Album
Dua E Kumal, Vol. 23

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.