Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ek Pyaase Ki Jung Dekho

Nadeem Sarwar

2003Urdu
2003UrduImam HussainMuharram
Ek Pyaase Ki Jung Dekho is a 2003 noha recited by Nadeem Sarwar from Volume 23, also distributed as Dua E Kumail and Ya Sari Al Raza. It reflects on final battle of imam hussain. Read the Roman lyrics, Urdu text and English translation with original refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2003
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Dua E Kumail (Volume 23, 2003)

Lyrics

Ek Pyaase Ki Jung Dekho Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ek Pyaase Ki Jung Dekho

Ek Pyaase Ki Jung Dekho

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ek Pyaase Ki Jung Dekho

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Roz-e-Ashoor hai, Zuljanah par sawaar
Gham ka seene pe haar, kaun maqtal mein aata hai Parwardigaar
Dil mein bhai ka, beton ka, apnon ka gham
Seh raha hai musalsal sitam par sitam
Khoon mein dooba libaas-e-ghareebi liye
Ran mein dekho Hussain aa raha hai
Khushk honton se sookhi zabaan se
Jo sada pe sada de raha hai
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Naam mere Khuda ka rahega
Kalma-e-La-Ilaha rahega
Deen, Quran, Kaaba rahega
Mera Islam zinda rahega
Tegh meri qaza mein dhali hai
Mere baazu mein zor-e-Ali hai
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Karbala haq ki taaqat rahegi
Yeh lahu ki tamaazat rahegi
Meri dharti ki izzat rahegi
Mere parcham ki hurmat rahegi
Khatm ho jaayegi har ghulaami
Mujhko taareekh degi salaami
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Tum ho sairaab aur main hoon pyaasa
Tum hazaaron ho aur main hoon tanha
Mar gaya hai jawaan bhai mera
Le gaya noor aankhon ka beta
Jung ka naam ab tum na loge
Kya Ali aa gaye, yeh kahoge
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Khoon kyun aadmi ka bahaayein
Amn ke phool har jaa khilaayein
Saari insaaniyat ko jagaayein
Zulm se haan magar haath uthaayein
Tum ne majboor mujhko kiya hai
Ab meri tegh-o-amr-e-Khuda hai
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Woh jo laashon pe laashein uthaaye
Ek qatra jo paani na paaye
Jiska ghora bhi thak kar khara hai
Jung uski hazaaron se, haaye
Phir bhi jinn-o-malak jung dekhein
Arsh waale meri jung dekhein
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Mere baba Ali aa chuke hain
Mere bhaiya Hasan aa chuke hain
Daad Abbas bhi de rahe hain
Mujhko Akbar mere dekhte hain
Dar-e-khaima pe behnein khari hain
Amma Zahra dua de rahi hain
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Jab kiya parh ke Takbeer hamla
Shor uthne laga al-amaan ka
Shola-e-Zulfiqar aisa chamka
Paaon tak khoon mein dooba tha ghora
Ran mein uthne lagin khoon ki maujein
Jaa ke Kufe se takraayi faujein
Shaamiyo, Shaamiyo, Shaamiyo, aao maqtal mein aao
Ek pyaase ki jung dekho ×2
Allahu Akbar, Allahu Akbar ×2

Jab yeh dekha falak se yeh manzar
Bola Jibreel se Rabb-e-Akbar
Keh do Shabbir se ab yeh jaa kar
Imtihaan khatm hai ibn-e-Haider
Mutmain nafs waale palat aa
Rab tera tujhse raazi hua
Tera zaakir hai tera Khuda
Aye Hussain irja'i, aye Hussain irja'i
Irja'i, marhaba
Shor Rehan-o-Sarwar utha
Asr-e-Ashoor ka waqt tha
Aa rahi thi azaan ki sada
Sheh ne sajde mein sar rakh diya
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2003
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali, Imam Hasan, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Sayyida Zainab, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Final battle of Imam Hussain, Ashura, Steadfastness and faith
Original language
Urdu
Album
Dua E Kumail (Volume 23, 2003)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.