Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Faryaad Hai Baba

Nadeem Sarwar

1984Urdu
1984UrduImam HussainMuharram
Faryaad Hai Baba is an Urdu Noha attributed to Nadeem Sarwar, portraying the heartbreaking cries of Bibi Sakina (s.a.) after the tragedy of Karbala. The poetry recalls the loss of her earrings, her longing for Hazrat Abbas (a.s.) to return with water, the burning of the tents, and the suffering of Imam Hussain's family on Ashura. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1984
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Faryaad Hai Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Faryaad Hai Baba

Faryaad Hai Baba

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Faryaad Hai Baba

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba
In zaalimon ne chheen liye kaanon se gauhar
Karti thi sar-e-dasht buka Shah ki dukhtar

Phaila hai andhera, abhi aa jayenge Abbas
Hai sabko yehi aas
Is aas pe bachche liye hain haathon mein saaghar
Faryaad hai Baba
Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba

Keh kar yeh gaye the, hum abhi aaye Sakina
Tum ho na hazeena
Ammu nahin laaye mere mashkize ko bhar kar
Faryaad hai Baba
Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba

Ghar loot liya, chaadarein bhi sar se utaareen
Aur sailiyaan maareen
Nargha hai sitamgaron ka, hum sab hain khule sar
Faryaad hai Baba
Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba

Ta hadd-e-nazar laashein hain, sar tan par nahin hain
Hum kis tarah dhoondhein
Paas apne bula lijiye aawaaz hi de kar
Faryaad hai Baba
Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba

Be-waali-o-waris hamein ab jaan ke aada
Tadpaate hain kya kya
Dikhlaate hain neze pe utha kar sar-e-athar
Faryaad hai Baba
Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba

Uthne lage jab aag ke har simt se shole
Sajjad yeh bole
Jaan apni bachaao, Phuphi, khaime se nikal kar
Faryaad hai Baba
Faryaad faryaad faryaad hai Baba, faryaad hai Baba

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1984
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.