Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta

Ali Shanawar

2010Urdu
2010Urdu
Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta is a 2010 noha by Ali Shanawar and Ali Jee mourning the devastation of Imam Hussain's family in Karbala. Its recurring refrain recalls the thirst of Hussain, the loss of Abbas and the burning tents of Shaam-e-Ghareeban.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Original
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Lyrics

Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta

Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta

Ali Shanawar · Ali Jee

YouTube loads when you open Listen.

Fatima Zehra Ka Bhara Gher Luta

Ali Shanawar · Ali Jee

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain
Ya Hussain

Chand Muharram ka nazar aa gaya
Bas gayi Karb-o-Bala
Bas gayi Karb-o-Bala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala
Mah-e-Muharram mein ye kya ho gaya

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Momino, veeran Madina hua
Ho gayi abad magar Karbala
Rote hain marqad mein Rasool-e-Khuda
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye woh Ashur
Woh Karb-o-Bala
Bhool na payenge ye Ahl-e-Aza
Aal-e-Muhammad pe thi kaisi jafa
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Ho gayin pardes mein barbadiyan
Bain ye karti rahin Shahzadiyan
Shaam talak jayenge hum be-rida
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Jab hue Abbas ke bazu qalam
Ho gaye be-asra Ahl-e-Haram
Chhini gayin paak saron se rida
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Samne darya yunhi behta raha
Kunba-e-Muhammad ka tadapta raha
Teen shab-o-roz na pani mila
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Beh gaya jab khak pe Shah ka lahu
Goonj rahi thi ye sada char-su
Karti thi faryad ye Khak-e-Shifa
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Shaam-e-Ghareeban hui
Khaime jale
Ahl-e-Haram khak pe baithe rahe
Sayyid-e-Sajjad ka noha ye tha:
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Noha Ali Jee-o-Shanawar padho
Sarwar-o-Rehan ke bazu bano
Dard mein doobi hui aaye sada:
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Haye ghazab ho gaya
Fatima Zehra ka bhara gher luta
Kat gaya Shabbir ka sookha gala

Ya Hussain
Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Original language
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.