Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ghar Ghar Matam

Nadeem Sarwar

1995Urdu
1995UrduImam HussainMuharram
Ghar Ghar Matam is a 1995 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from the album Labayk Ya Imam. It celebrates the remembrance and mourning of Imam Hussain across homes and communities, recalling the sacrifices of Hazrat Abbas, Bibi Zainab and Imam Zainul Abidin. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1995
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Lyrics

Ghar Ghar Matam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ghar Ghar Matam

Ghar Ghar Matam

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ghar Ghar Matam

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain

Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Basti basti, qarya qarya
Tera hota rahe Maula matam ×2
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Tere matami aye mere Maula
Duniya ke kisi kone mein gaya
Masroof raha matam mein tere ×2
Deta hai sukoon tera matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Jab dil ne kaha aye Zehra
Mere ghar mein bahaane ashk-e-aza
Bas maine bichha ke farsh-e-aza ×2
Kuch der kiya barpa matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Kal haath bandhe the Zainab ke
Majboor behan thi matam se
Majlis hai teri ghar ghar barpa ×2
Ab karti hai sab duniya matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Abbas ke shaane kat to gaye
Masoom tere pyaase hi rahe
Ghazi ke liye bachchon ke liye
Ghazi ke liye bachchon ke liye ×2
Ab karta hai darya matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Ashoor ko jab sooraj nikla
Zehra ke bhare ghar ko dekha
Par chaand ne Zainab ko dekha ×2
Karti hai bhare ghar ka matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Karbal se safar tha Shaam ka jab
Laashe pe pukaari yeh Zainab
Ta hashr teri mazloomi par ×2
Karna hai mujhe bhaiya matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Jo Karbobala se Shaam gayi
Woh Bint-e-Zehra, Bint-e-Ali
Sab maaen behnein mil kar ab ×2
Karti hain sada uska matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Beemaar tha aur zanjeerein theen
Pairon ke tale jalti thi zameen
Sajjad ke gham mein ro ro kar ×2
Karta hai har ek rasta matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Basti basti, qarya qarya ×2
Tera hota rahe Maula matam
Ghar ghar matam, dar dar matam
Tera hota rahe Maula matam ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1995
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Azadari
Original language
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.