Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Goonj Raha Hai Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Goonj Raha Hai Ya Hussain is the title noha from Nadeem Sarwar's 2005 album, expressing devotion to Imam Hussain through remembrance, azadari, tears, sabeel and the enduring message of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Goonj Raha Hai Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Goonj Raha Hai Ya Hussain

Goonj Raha Hai Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Goonj Raha Hai Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain, Hussain, Hussain ×3

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Aap ki kya shan hai Maula
Bolta Quran hai Maula
Fatima ki jaan hai Maula
Marzi-e-Subhan hai Maula

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Karbala ka Fath-e-Azam
Ba-Khuda hai Waris-e-Adam
Ja-ba-ja phaile tere parcham
Ta-abad hoga tera matam

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Teen din ki tishnagi Maula
Haye teri bekasi Maula
Khushk gardan par chhuri Maula
Karbala kehti rahi Maula

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Kis tarah bhoolenge woh manzar
Jab chala tha halq pe khanjar
Jab sina ki nok pe tha sar
Bol utha Quran tere lab par

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Ye sabeelen, ye aza-khane
Aankh mein ashkon ke paimane
Matami laye hain nazrane
Ab Janab-e-Sayyeda jane

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Ye teri Maula azadari
Zindagi se bhi hamein pyari
Hai yehi tujh se wafadari
Ashk aankhon se rahein jari

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Waris-e-Quran zindabad
Rehbar-e-Insan zindabad
Mazhar-e-Iman zindabad
Fatima ki jaan zindabad

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Assalam aye Malik-e-Kausar
Assalam aye Kushta-e-Khanjar
Assalam aye Jaan-e-Payghambar
Kehte hain Rehan-o-Sarwar

Mere lahu ke har qatre mein
Goonj raha hai Ya Hussain
Ab to sab ka wird-e-zaban bhi
Rehne laga hai Ya Hussain ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.