Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham

Nadeem Sarwar

2008Urdu
2008Urdu
Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham is Nadeem Sarwar's 2008 noha remembering Bibi Sakina and the suffering of the Ahlulbayt in Shaam. The verses contrast her illuminated resting place with the darkness of the prison, the market and the court remembered in the lament.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×3

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham
Chhoti Shahzadi ka hai yahin par qayam
Aaj rauze pe hai roshni subh-o-sham
Pursa-daron ka hai matami azhdaham
Phat raha hai jigar, sochta hoon agar
Kaisa tareek tha, kaisa veeran tha
Kaisa veeran tha, kal ye zindan tha
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Itni wehshat ke ek pal na guzre jahan
Cheekhti hon jahan sirf tanhaiyan
Rona kya, siskiyon par bhi pabandiyan
Rassiyon, bediyon, tauq ke darmiyan
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Sar khule khak par ghamzada Bibiyan
Unmein Qasim ki, Akbar ki, Asghar ki Maa
Maang ujri hui, khali thin godiyan
Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahan
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Haan isi Shaam ke beech bazar mein
Bibiyan pattharon ki thin bochhar mein
Khoon mein doobi Muhammad ki thin Betiyan
Har taraf Shaam mein jashn ka tha saman
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Dekh kar Bint-e-Zahra ka yun sar khula
Nok-e-naiza se Ghazi ka sar gir gaya
Haye Ghazi ki ghairat ka ye imtehan
Sar patakne lagin sari Shahzadiyan
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Ek qayamat si Darbar mein aa gayi
Jab Sakina kaneezi mein mangi gayi
Na padar, na Chacha, Bhai bhi natawan
Todi Sajjad ne ghaiz mein bediyan
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Dukhtar-e-Hind boli:
Sakina bata
Kaise daman jala?
Kyun hai kurta phata?
Odhni tere sar ki gayi hai kahan?
Kheenchi kis shaqi ne teri baliyan?
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Boli:
Kya haal apna bataun tujhe?
Chhod ke jab se Baba gaye hain mujhe
Main yateem ho gayi, aur kya ho bayan?
Meri gardan mein bandhi gayin rassiyan
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Aur ek roz zindan rone laga
Jab Sakina ko Baba ka sar mil gaya
Boli:
Ab aaye ho tum mere Baba Jaan?
Itne din mujhse door rahe ho kahan?
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Royin Rehan-o-Sarwar ki aankhein lahu
Rauza-e-Shahzadi pe ki guftagu:
Haye is waqt hum tum khade hain jahan
Noor hi noor hai, kal thin tareekiyan
Bara royi Sakina yahan ×2

Haan Yeh Hai Shehar-e-Sham ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.