Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haaye Sughra Bata

Nadeem Sarwar

2006Urdu
2006Urdu
Haaye Sughra Bata is Nadeem Sarwar's 2006 noha portraying Imam Hussain reading Bibi Sughra's letter beside Ali Akbar's body in Karbala and wondering how he can tell his daughter that the family she awaits will not return.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2006
Original
Urdu
Album
Mujhe Paidal Chalna

Lyrics

Haaye Sughra Bata Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haaye Sughra Bata

Haaye Sughra Bata

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haaye Sughra Bata

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sughra Bata

Maula maqtal mein sar ko jhukaye
Lash-e-Akbar pe tanha khade hain
Dheeme dheeme tapakte hain aansu
Haye, Sughra ka khat padh rahe hain

Bole:
Kya main jawab iska doon? ×2

Haye Sughra bata, kya likhun?
Aur Sughra bata, kya likhun? ×5

Main to pardes mein lut gaya
Apne lashkar ko main ro chuka
Tera Baba ghareeb ho gaya ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Aandhiyan mera ghar le gayin
Mere lakht-e-jigar le gayin
Mera Noor-e-Nazar le gayin ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Khat tera ab sunaun kise?
Kaun meri sada par uthe?
Shab ko jage hue so gaye ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Haye Sughra, woh Bhai tera
Jisne tujh se tha wada kiya
Kha gayi usko Karb-o-Bala ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Pyar tune tha jisko likha
Ghutniyon bhi jo na chal saka
Haan, woh Asghar bhi ab na raha ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Shab ko dulha banaya jise
Raas aayi na mehndi jise
Royi sehre ki ladiyan jise ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Ab Sakina ka Hafiz Khuda
Waqt Zainab pe bhi hai kada
Mujhko ghere hue hai qaza ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Ye to achha hua Ladli
Apne ghar mein tu reh gayi
Be-ridai se to bach gayi ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Khat woh Rehan-o-Sarwar tha kya
Khak se mera Maula utha
Lash-e-Akbar pe khat rakh diya ×2
Aur iske siwa kya likhun?

Haye Sughra bata, kya likhun? ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2006
Original language
Urdu
Album
Mujhe Paidal Chalna

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.