Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hamarey Hain Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2011Urdu
2011Urdu
Hamarey Hain Ya Hussain is Nadeem Sarwar's 2011 title noha reflecting on Imam Hussain as a universal symbol of humanity, sacrifice and resistance to oppression. Set against imagery of Arbaeen and Karbala, its long-form verses contrast Hussain's values with injustice and culminate in the tragedy of Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Original
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Lyrics

Hamarey Hain Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hamarey Hain Ya Hussain

Hamarey Hain Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hamarey Hain Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Main Karbala mein khada hoon
Libas-e-sog mein hoon
Hai Arbaeen-e-Hussain
Aur Hussainiyon ka

Karoron log hain
Sare libas-e-sog mein hain
Har ek nasl
Har ek rang
Har zaban ke log

Nigahein Rauza-e-Shabbir ke
Tawaf mein hain
Labon pe:
Haye Hussaina
Ghareeb Haye Hussain

Khayal aata hai
Iksathvin san-e-Hijri ka
Aur us Muharram ka

Yehi maqam tha
Ek Banda-e-Khuda
Jiska Hussain naam tha

Hussain naam tha jiska
Rah-e-Khuda mein
Hatheli pe sar uthaye hue
Har ek daur ke insan ki
Aabru ke liye

Woh apne dil pe
Bahattar ke zakhm uthata raha
Woh apne jism pe
Zakhmon pe zakhm khata raha
Qadam badhata raha
Qadam badhata raha

Bas ek azm tha:
Insan surkhru ho jaye
Bas ek dhun thi:
Insaniyat na mar jaye

Insaniyat pe hai ehsan Hussain ka
Ehsan hi to hai ehsan ka sila
Har dil mein Ya Hussain
Har dil mein Karbala

Bedar kar diya jo
Zamana Hussain ne
Be-sakhta tamam zamana
Ye keh utha:

Hamarey Hain Ya Hussain
Hamarey Hain Ya Hussain

Insaniyat ki shan
Badhayi Hussain ne
Insaniyat bashar ko
Sikhayi Hussain ne
Insaniyat ki pyas
Bujhayi Hussain ne

Insan jab Hussain ke
Paikar mein dhal gaya
Insaniyat pukari:
Wa tu'izzu man tasha

Hamarey Hain Ya Hussain

Duniya ke har adab mein
Hai hissa Hussain ka
Duniya ki har zaban pe
Hai qabza Hussain ka
Insan samajh raha hai
Ye rutba Hussain ka

Tareekh ko Hussain ne
Hairan kar diya
Sare jahan ke
Ahl-e-qalam ne ye likh diya:

Hamarey Hain Ya Hussain

Surah mein Maa Uti ke
Allah ne sunaya
Takhleeq-e-kul mein
Insan ashraf tujhe banaya
Insan ka dard
Dil mein insan ke utara
Insaniyat ka maktab
Ghar Panjetan ka rakha
Us ghar mein Panjetan ke
Ek shehr ko basaya
Phir apna khoon deke
Us shehr ko sanwara

Ye shehr Nainawa hai
Ye shehr Mariya hai
Ye shehr Karbala hai
Ye shehr Karbala hai

Dil hai to Karbala
Dil hai to Ya Hussain

Insaniyat samajhne
Chalo Karbala chalo
Haan tham lo
Hussain ke daman ko tham lo
Hurr, John aur Habib ki
Saf mein khade raho
Dil hai to ab
Hussain ki awaz ko suno

Farmate the Hussain:
Woh insan nahin hai
Loote jo dil ka chain
Woh insan nahin hai
Roye na jiske nain
Woh insan nahin hai
Hans de jo sun ke bain
Woh insan nahin hai

Insaniyat bachaye
Woh insan hai insan
Insan ka dukh uthaye
Woh insan hai insan
Dars-e-wafa sikhaye
Woh insan hai insan
Jo sab pe rehm khaye
Ilm-o-amal badhaye
Insaniyat bachaye
Woh insan hai insan

Insan ko Hussain ne
Insan bana diya
Insaniyat ke lab pe
Musalsal thi ye sada:

Hamarey Hain Ya Hussain

Do tarah ke hua karte hain
Jahan mein insan
Hain juda raste donon ke
Ba-qaul-e-Quran

Aadmi ek
Yazid-e-azali mein ubhra
Ek insan
Hussain ibn-e-Ali mein ubhra

Us taraf
Kham-khayali
Naya Islam bane
Is taraf
Azm-e-jalali
Ke shariat na mite

Us taraf
Saltanat-o-daulat-o-taqat ka ghurur
Is taraf
Chhota sa ghar
Faqon mein hai manba-e-noor

Ek taqat ke takabbur mein
Jo itra ke chala
Dusra Nana ke marqad se
Dua pa ke chala

Ek nau lakh ke lashkar ko
Liye sath chala
Dusra god mein Asghar ko
Liye sath chala

Us taraf naize the
Talwarein thin
Aur bhale the
Is taraf shauq-e-shahadat
Liye dil wale the

Us taraf jashn
Manate the zamane wale
Is taraf bekas-o-be-aas
Madine wale

Ek taraf tashna-dahan
Sab ke sab khushk-zaban
Unka maqtal tha jahan
Ret sari thi tapan
Door thi nehr-e-rawan

Al-Hafeez-o-Al-Aman

Kya dil tha
Dil-e-Hussain ka
Jisme koi khayal
Na tha intiqam ka

Dil tha
To dil pe kar-e-risalat utha liya
Dil tha
To dil pe noor-e-shahadat utha liya
Dil tha
To dil pe bar-e-qayamat utha liya
Dil tha
Khuda ke ishq mein
Sab ghar luta diya
Dil tha
To dil pe dagh-e-bahattar utha liya
Dil tha
Sambhal ke lasha-e-Akbar utha liya
Had hai
Janaza-e-Ali Asghar utha liya

Hussain
Dil hai tera

Karbala kya thi?
Laeenon ki shaqawat kya thi?
Soch insan
Ke Sadat ki ghurbat kya thi

Eid guzri hai abhi
Yani ke Eid-e-Qurban
Aapne pura kiya hoga
Ye rukn-e-iman

Chand shartein hain
Zabiha ki baraye insan

Shart-e-awwal hai
Ke kamsin na ho
Beemar na ho
Aur bhooka na ho
Pani ka talabgar na ho
Ru-ba-ru samne
Haiwan ke haiwan na ho
Waqt-e-zibh
Woh ghadi bhar ko
Pareshan na ho

Shart ye bhi hai
Chhuri bhi na dikhao usko
Zibh se pehle
Qaza se na darao usko
Ho chhuri tez
Magar hath ho narmi se rawan
Ek hi waar mein
Ho jaye zabiha qurban

Al-Hafeez-o-Al-Aman

Ab jigar tham ke
Aye momino
Ye haal suno
Lo zara
Maqtal-e-Shabbir ka
Ahwal suno

Haye haiwan ki
Dam-e-zibh sharait itni
Aur jis ghar se
Ye mansub hui qurbani
Uski aulad ki
Maqtal mein ye tauqeer hui
Koi bhi shart
Zabihe ki nibhayi na gayi

Al-Hafeez-o-Al-Aman

Shart-e-awwal thi
Ke kamsin na ho
Dandan bhi ho
Doodh peeta na ho
Mar jane ke imkan na ho

Tumko ab
Madar-e-Asghar ki qasam
Ahl-e-Aza
Qatl Asghar jo hue
Sochiye woh kya sin tha

Teesra faqa tha
Chhe maah ka sin
Wa-waila
Ek bhi daant na nikla tha
Ali Asghar ka
Ek balisht ka kurta tha
Ali Asghar ka
Doodh peena bhi na chhuta tha
Ali Asghar ka

Pehla kamsin hai
Ke jo zibh nahin
Nehr hua
Teer-e-seh-pehlu se
Masoom ko bhi maar liya

Al-Hafeez-o-Al-Aman

Shart-e-dowum thi
Ke haiwan na ho
Bhooka pyasa
Aur haftum se the
Sadat bina aab-o-ghiza

Halq tar karte hain
Qassab bhi qurbani ka
Aur bahattar ko
Dam-e-zibh bhi
Pani na mila

Jalti reti pe
Kahin Akbar-o-Abbas gire
Aur kahin
Aun-o-Muhammad
Aur Qasim the pade

Zibh-e-haiwan ka nahin
Hukm hai haiwan ke huzur
Yahan na Shabbir se
Zainab na Sakina thi door

Shah unko
Woh su-e-Shah-e-Umam
Dekhte the
Zibh hote the Hussain
Ahl-e-Haram dekhte the

Hussain
Ya Hussain

Mana dikhana chhuri ka
Hai pa-e-qurbani
Yahan tha nau lakh ke
Narghe mein Ali ka jaani

Ek jaan
Lakh khareedar
A'uzubillah
Har taraf zalim-o-khoon-khwar
A'uzubillah

Apne rutbe ka
Kisi ko na shanasa dekha
Dekha pyase ne jise
Khoon ka pyasa dekha

Akhri shart:
Chhuri tez ho
Narmi se rawan
Ta ke tadpe na
Aziyat se zara bhi haiwan

Akhri sajda
Idhar karne lage
Shah-e-Huda
Kund karta hua khanjar
Idhar Shimr chala

Tegh-o-zarbon se
Sar-e-Sayyid-e-Wala kata
Aur mazloom
Har ek zarb pe
Deta tha sada

Zarb pe zarb lagi
Kehte the:
Amma, Amma

Zarb-e-akhir pe kaha:
Ho mere Abbas
Mere Abbas kahan?

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Original language
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.