Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Bazaar-e-Shaam

Nadeem Sarwar

1992Urdu
1992UrduImam Zainul AbidinMuharram
Haye Bazaar-e-Shaam is an Urdu devotional noha recited by Nadeem Sarwar on the 1992 Volume 12 album. Its verses remember captivity in shaam. Read the Roman-script lyrics, original script, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1992
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Lyrics

Haye Bazaar-e-Shaam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Bazaar-e-Shaam

Haye Bazaar-e-Shaam

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Bazaar-e-Shaam

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×4

Ek yehi baat Sajjad ko kha gayi ×2
Sar khule, haaye Zainab kahan aa gayi

Tauq ke bojh se sar nahin tha jhuka ×2
Wajh-e-sharmindagi ek yehi dard tha ×3
Majma-e-ashqiya mein phuphi aa gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Tap raha tha badan aur zanjeer bhi ×2
Be-rida maa, phuphi aur hamsheer bhi ×3
Sochte the na kyunkar qaza aa gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Bibiyon ke gale resma se bandhe ×2
Gard-aalood baalon se chehre chhupe ×3
Shaam tak is tarah bint-e-Zahra gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Waarison ke janazon pe roye nahin ×2
Asr-e-Ashur ke baad soye nahin ×3
Neend rukhsat hui, aankh thakra gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Ek to zindaan, us par andhera bahut ×2
Aur faryaad karne pe pehra bahut ×3
Maut bhi is andhere se ghabra gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

So gayi qaidkhane mein woh ghamzada ×2
Jiska Shaam-e-Ghareeban mein daaman jala ×3
Qaidkhane ki us ko zameen kha gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Kaise dafnaaye, jakre hain zanjeer mein ×2
Dard likhi hai kya sirf taqdeer mein ×3
Dafn karne Sakina ko maa aa gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Dard Rehan, Sajjad ke main likhoon ×2
Khaama-e-jaan se mere tapakta hai khoon ×3
Rooh-e-ghairat bhi is gham se tharra gayi
Haye bazaar-e-Shaam, mera bekas Imam ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1992
Personalities
Imam Zainul Abidin, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram
Themes
Captivity in Shaam, Sakina in prison
Original language
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.