Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Haye Qasim

Nadeem Sarwar

2008Urdu and Punjabi
2008Urdu and Punjabi
Haye Haye Qasim is Nadeem Sarwar's 2008 Urdu-Punjabi noha mourning Qasim ibn Hasan. The verses portray his sister and mother grieving over his trampled body, his interrupted wedding and the devastation left after Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu and Punjabi
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Haye Haye Qasim Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Haye Qasim

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Haye Qasim
Haye Qasim

Qaidi ban kar paband-e-rasan
Lashon se jo guzre Ahl-e-Haram
Har Bibi apne pyaron se
Hoti thi wida kar ke matam

Ek Bibi Fatima Bint-e-Hasan
Pamal badan Qasim ki behen
Kisi ek jagah se rukhsat na hui
Tukdon mein jo tha Bhai ka badan

Kabhi is tukde par Haye Qasim
Kabhi us tukde par Haye Qasim

Teri behen ghareeb nu nai bhulna ×2
Tere qatl da manzar, Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Kabhi sehra dekh ke roti thi
Kabhi ghash kha ke gir jati thi ×2
Pamal hua tha Bhai jahan ×2
Us khoon pe gir kar, Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Wich rassiyan de paband hui
Nai behen ghareeb da vas koi ×2
Hunde hath azad te mar jandi ×2
Tera matam kar kar, Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Kis shan se tum dulha the bane
Kis shan se thi barat chali ×2
Baithi rahi dulhan hujre mein ×2
Aaye na palat kar, Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Farwa ne kaha:
Beta Qasim
Keh dena Dadi Zahra se ×2
Ghurbat ki kamai tukdon mein ×2
De di hai saja ke, Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Sanu raas na aayi Karb-o-Bala
Tu banj kafan, main banj rida ×2
Tere qatl de baad laeenan ne ×2
Meri lut gayi chadar, Haye Qasim

Haye Haye Qasim

Har saat Muharram ko Mehdi
Teri yaad mein Qasim uthti hai ×2
Dulha, Dulha Qasim, Dulha
Hota hai labon par Haye Qasim

Haye Qasim

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu and Punjabi
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.