Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Jab Imam Main Bana

Nadeem Sarwar

2014Urdu
2014Urdu
Haye Jab Imam Main Bana is Nadeem Sarwar's 2014 noha voiced through Imam Zainul Abidin as he recalls assuming the Imamat amid the devastation of Ashura. The verses portray the burning tents, the bodies across Karbala, Bibi Zainab's grief and the beginning of his captivity.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Lyrics

Haye Jab Imam Main Bana Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Jab Imam Main Bana

Haye Jab Imam Main Bana

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Jab Imam Main Bana

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye, Ashur ko ghash se jo
Phuphi Jaan ne uthaya
Jalta hua, lutta hua
Saman nazar aaya

Baba na Alamdar
Na lashkar tha hamara
Maa-behnon ke sar par bhi
Ridaon ko na paya

Us haal mein
Dastar-e-Imamat ko sambhala

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Chha chuki thi Shaam ki ghata
Jal raha tha, Haye, ghar mera
Lut raha tha maal-o-zar mera
Hans rahe the hum pe ashqiya
Samne Phuphi thin be-rida

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Mere samne thi Karbala
Girya-o-buka ka shor tha
Mayyatein padi thin ja-ba-ja
Ro rahi thi Nehr-e-Alqama
Aur main ye dekhta raha

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Mujh se keh rahi thin ye Phuphi:
Masnad-e-Rasool jal gayi
Chal gayi Hussain par chhuri
Ab Imam-e-Waqt ho tumhi

Ho rahi thi aise ibtida

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Haye Shaamiyon ka izdeham
Aur woh ghairaton ka qatl-e-aam
Khoon ro raha tha subh-o-shaam
Keh ke Haye Shaam, Haye Shaam

Kyun na us ghadi main mar gaya?

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Aaj hum pe tang hai zameen
Ro rahi hain Zainab-e-Hazeen
Main ba-haisiyat Imam-e-Deen
Rakh raha hoon khak par jabeen
Kar raha hoon Sajda-e-Khuda

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Sarwar-o-Zafar, woh Shaam-e-Gham
Haye woh museebat-o-alam
Woh Yateem-e-Shah par sitam
Mar raha tha jo qadam qadam
Keh raha tha jo ba-sad buka

Marsiya tha ik ghareeb ka
Haye, jab Imam main bana ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.