Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Le Lo Salam Zainab Ka

Nadeem Sarwar

2014Urdu
2014Urdu
Le Lo Salam Zainab Ka is Nadeem Sarwar's 2014 Chehlum noha voiced through Bibi Zainab as she returns to Karbala. The verses mourn the seventy-two martyrs, Imam Zainul Abidin's suffering, Sakina's absence and Zainab's painful farewell before returning toward Madina.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Lyrics

Le Lo Salam Zainab Ka Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Le Lo Salam Zainab Ka

Le Lo Salam Zainab Ka

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Le Lo Salam Zainab Ka

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shah-e-Shaheed-e-Karbala ×2
Le lo salam Zainab ka

Aayi hoon phir se Nainawa ×2
Le lo salam Zainab ka

Shah-e-Shaheed-e-Karbala

Haye Bhaiyya
Bahattar ka Chehlum karungi ×2
Dil khol kar aaj matam karungi ×2
Farsh-e-Aza lo bichh gaya

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Haye Bhaiyya
Lahu mera Sajjad roya ×2
Main so saki aur na Sajjad soya ×2
Har har qadam thi Karbala

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Haye Bhaiyya
Watan ja ke main kya karungi? ×2
Haye ujre Madine mein kaise rahungi? ×2
Mar jayegi ye ghamzada

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Haye, main bhi yahin
Zairon mein rahungi ×2
Aur zairon ki main khidmat karungi ×2
Ye waqt phir kab aayega?

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Haye, khoon mein bhara kurta
Le ja rahi hoon ×2
Lekin tumhari qasam kha rahi hoon ×2
Haan, harungi na main hausla

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Sare shaheed ab tumhare hawale ×2
Main apne in ghamzadon ko sambhale ×2
Haye, le ja rahi hoon qafila

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Haye Bhaiyya
Sakina ko na layi Zainab ×2
Haye zindan mein usko chhod aayi Zainab ×2
Haye, roti rahi woh mah-laqa

Le lo salam Zainab ka
Aayi hoon phir se Nainawa
Le lo salam Zainab ka

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.