Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Sadaat

Ali Shanawar

2012Urdu
2012Urdu
Haye Sadaat is Ali Shanawar's 2012 noha reflecting on the suffering endured by the family of Prophet Muhammad across generations. The verses move from Bibi Fatima and the Imams to Karbala, Shaam-e-Ghareeban and the grief carried by Bibi Zainab.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Original
Urdu
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Lyrics

Haye Sadaat Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Sadaat

Haye Sadaat

Ali Shanawar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Sadaat

Ali Shanawar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Sadaat
Haye Sadaat

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha
Apni aankhon ko
Sada khoon hi rota dekha

Jis gharane ne
Sada logon ko khushiyan bantin
Unko khushiyan na milin
Gham hi zyada dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Woh Muhammad
Ke jo rehmat hain zamane ke liye
Unki na'lain ko bhi
Khoon mein dooba dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Sabz Gumbad ke qareeb
Marqad-e-Zahra hai magar
Baap ne beti ki
Turbat pe na saya dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Rotiyan mang ke
Jis dar se farishte jayein
Eid ke roz bhi
Un bachchon ka faqa dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Woh Taqi ho ke Naqi
Musa-e-Kazim ya Raza
Sakhtiyan qaid ki
Aur zehr ka pyala dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Pusht pe jisko bithate the
Rasool-e-Akram
Us nawase hi ka
Sar bar-sar-e-naiza dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Jiske bazu the
Rida Zainab-e-Kubra ke liye
Kaise Bibi ne use
Bazu-burida dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Subh-e-Ashur dhali
Shaam-e-Ghareeban aayi
Char pehron mein
Qayamat ko guzarta dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Gir gayi khak pe
Ghash kha ke Ali ki beti
Poochha Sughra ne:
Pardes mein kya kya dekha?

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Ro diye Sarwar-o-Rehan
Jigar tham ke hum
Jab Azakhane mein
Rakha hua jhoola dekha

Haye Sadaat ne
Is dehr mein kya kya dekha

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Original language
Urdu
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.