Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ali Shanawar

2008Urdu
2008Urdu
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun is a 2008 noha by Ali Shanawar and Ali Jee voiced as Imam Hussain addressing those who denied water to his family in Karbala. The verses recall his relationship with Prophet Muhammad, Bibi Fatima, Imam Ali and Imam Hasan.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ali Shanawar · Ali Jee

YouTube loads when you open Listen.

Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun

Ali Shanawar · Ali Jee

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×3

Mera Nana Nabi
Meri Maa Sayyeda
Mera Baba Ali
Mera Bhai Hasan
Hum hi hain Panjetan

Meri kya hai khata? ×3

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Kya main Zahra ka jaya nahin hoon? ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mere Nana ne Kalma sikhaya
Aur Quran tumko sunaya ×2
Kya main Nana ka saya nahin hoon? ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Woh Madina jahan mera ghar hai
Aur Masjid mein us ghar ka dar hai ×2
Kya main us ghar mein khela nahin hoon? ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Chakkiyan pees kar Maa ne pala
Mujhko Nana ne jhoola jhulaya ×2
Apna bachpan main bhoola nahin hoon ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Kamli Wale ke lab choomta tha
Kitna pyara mera bachpana tha ×2
Kya main unka dulara nahin hoon? ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Main jo pani kabhi mangta tha
Kyun tadapti thi Maa, ab main samjha ×2
Paas Asghar ke jata nahin hoon ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Main jo chahun baras jayen badal
Khoon mein dooba nazar aaye maqtal ×2
Jang karne main aaya nahin hoon ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Ek sada thi ye Rehan-o-Sarwar
Keh rahe the Hussain ibn-e-Haider ×2
Kya main mehman aaya nahin hoon? ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Mujh pe kyun band karte ho pani?
Kya Muhammad ka pyara nahin hoon?

Kya main Zahra ka jaya nahin hoon? ×3
Kya Nabi ka nawasa nahin hoon?

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.