Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Shaam Ka Bazaar

Nadeem Sarwar

1995Urdu
1995UrduImam HussainMuharram
Haye Shaam Ka Bazaar is a 1995 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi. From Labayk Ya Imam, it recounts the suffering of Imam Zainul Abideen in the marketplace of Shaam, his concern for the captive women of the Ahlulbayt, and his enduring grief for Bibi Sakina. Read the Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1995
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Lyrics

Haye Shaam Ka Bazaar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Shaam Ka Bazaar

Haye Shaam Ka Bazaar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Shaam Ka Bazaar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Shaam ka bazaar ×4

Sajjad se rone ka sabab pooch raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2
Jo Shaam mein guzri hai woh sab pooch raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Woh laakhon tamaashayi, be-parda phuphi behnein
Kaise na lahu roye beemaar ki phir aankhein
Is gham ki aziyyat ne use maar diya hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Kis tarah qaraar aaye beemaar ko aye logon
Sar nezon pe pyaron ke aate hain nazar jisko
Be-jurm musaafir ki yeh kaisi saza hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Aankhon se hai khoon jaari, gham-khwaar hai beemaari
Zanjeer hai pairon mein aur tauq bhi hai bhaari
Jalti hai zameen saari aur garm hawa hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Jaageer nahin maangi, zanjeer nahin badli
Saaye mein nahin baitha, poshaak nahin badli
Maa behnon ki khaatir woh rida maang raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Zindaan ke masaayeb bhi har waqt rulaate hain
Ashkon ko magar apne Zainab se chhupaate hain
Mar jaaye na Zainab yeh kahin soch raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Zindaan se riha ho ke bhi zindaan mein hai Sajjad
Ek nanhi si turbat jo wahaan karti hai faryaad
Mar kar bhi rahoon qaid mein kya meri khata hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Yeh zakhm bhi Sajjad ko jeene nahin deta
Zakhmon se Sakina ke jo chipka raha kurta
Woh khoon bhara kurta hi kafan uska bana hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Bazaar mein, darbaar mein, zindaan mein roye
Chaalis baras maut ke armaan mein roye
Rehan mera Maula tadapta hi raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Sajjad se rone ka sabab pooch raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2
Jo Shaam mein guzri thi woh sab pooch raha hai
Haaye Shaam ka bazaar ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1995
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Captivity of Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.