Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Zindan-e-Shaam

Nadeem Sarwar

1993Urdu
1993UrduBibi SakinaMuharram
Haye Zindan-e-Shaam is an Urdu noha recited by Nadeem Sarwar in the 1993 (Volume 13) collection, with poetry credited to Rehan Azmi. Read its Roman-script lyrics, original script and line-aligned English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1993
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Volume 13 (1993)

Lyrics

Haye Zindan-e-Shaam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Zindan-e-Shaam

Haye Zindan-e-Shaam

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Zindan-e-Shaam

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Meri to aas mere seene mein mar jaati hai
Dekhein is qaid se kab milti hai rukhsat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Bebasi kaisi hai, yeh kaisi hai ghurbat, Amma
Kya banegi isi zindaan mein turbat, Amma
Kehna Baba se Khudahafiz, o Nasir Baba
Lo ke ab hoti hoon zindaan se rukhsat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Ab to din mein bhi ujaalon se mulaaqaat nahin
Jo tarap kar na guzaari ho koi raat nahin
Kya karoon jee kar, chacha mere paas nahin
Do dua khatm ho ab jald museebat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Ab sar-e-Shaam parindon pe nazar jaati hai
Aisi makhlooq hai, urte hue ghar jaati hai
Meri to aas mere seene mein mar jaati hai
Dekhein is qaid se kab milti hai rukhsat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Tum inhi kapron ko aye Amma bana dena kafan
Ho nahin sakte yeh tabdeel, ke zakhmi hai kafan
Baba aa jaayein to keh dena unhein mera sukhan
Apne Baba ki na kar paayi main khidmat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Mere Baba ka woh seena meri Amma laa do
Jo tha jeene ka qareena meri Amma laa do
Jo tha aaraam-e-Sakina meri Amma laa do
Is se pehle ke ho ab maut se qurbat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Ho sake to Ali Asghar ka woh jhoola laa do
Amma bhaiya ka mere mujhko shalooka laa do
Woh jo taweez tha mannat ka Khudara laa do
Mujhko phir marne mein hogi na diqqat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Thehar jao, ke Khudahafiz-o-Nasir, Amma
Saath deti nahin ab baali Sakina ki zabaan
Keh do zaalim se ke ab khatm hui aah-o-fughaan
Aah karne ki bhi baaqi nahin taaqat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Lab-e-Sarwar pe jo Rehan ka noha aaya
Shaam ke zindaan se aane lagi aawaaz-e-buka
Jaise bachchi ka koi zakhm hua phir taaza
Boli kyun ahl-e-aza karte hain riqqat, Amma
Haaye Zindaan-e-Shaam

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1993
Personalities
Bibi Sakina, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Asghar
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Captivity in Shaam, Sakina in prison, Longing for father
Original language
Urdu
Album
Volume 13 (1993)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.